Jan 9, 2011

Jan 8, 2011

Sign of Pregnancy

Istaqrar hamal hone per aurat mein mandarjah zeel tabdeelyan ya alaamat zahir hoti hain.

1-    Haiz Ka Rukjana    

istaqraar hamal kay waqt aurat ko haiz yani mahwari aana band ho jati hai yeh barhi alaamat hai, baaz auraton ko pehlay teen mah mein thorha buhat aata hai, aur baaz ko sirf aik mah band honay kay baad phir shoro ho jata hai, lekin yeh haqiqat hai keh aik dafa haiz band zaroor hota hai.

2-Matli Aur Qai Aana

Hamal thahernay kay teen chaar haftay baad hamlah aurat ki tabiyat mein susti aajati hai, gi matlane lagta hai, subha kay waqt khansi aati hai, aur qai bhi aanay lagti hai, yeh halat 14-15 haftay rahti hai. Lekin baaz auraton ko bachah jantay tak yahi halat rahti hai.

3-Pastanon Ki Tabdeli

Istaqrar hamal kay baad hamla ki pastanon mein numaya tabdili aati hai.
Chati barhnay lag jati hai. Pastaanon kay ird gird kalay rung kay dairay ban jatay hain pastanon mein doodh aanay lagta hai yeh khaas alaamat hai keh aurat hamlah hai. Hamla kay cheray per siyahyan phail jati hain.

4-Andaam Nehani Ki Halat

Andaam nehani se sufaid rung ki ratoobat nikalnay lagti hai. Raham ki jisamat pahlay say barhi ho jaati hai istaqrar hamal say pahlay is ka size
 2 ½ inch hota hai aur wazan ½ pao ho jata hai. Raham barhtay barhtay aathwain mahinay mien naaf say oper aajata hai. Naween mahinay mien shikam tak aajata hai.

5- Shikam Ki Halat

Istaqrar hamal kay chatay mahinay mein shikam ki deewar oper ko uthti hai. Is mein tanaao aajata hai. Shikam ki deewar per zardi maa'l lakeerain numayan hoti hain.

6- Jinion Ki Harkat

Bachay ki paidaaish jinion kay barhnay say hoti hai, yeh hamlah kay pait mien parwarish patay hain jinion 16-20 hafton mien harkat kanay lagta hai is ki harkat maa'n kay pait per haath say mahsoos ki jasakti hai.

7- Thook Aur Peeshab

Hamlah kay monh say bar bar thook aata hai munh pani say bhar jata hai, is kay sath sath isay peeshab kasrat say aur bar bar aanay lagta hai, hamla ki tabiyat bhojhal si mahsoos hoti hai, isay thakan aur  thakawat rahnay lagti hai.

Ectopic Pregnancy

Is halut mien bacha uterus ki cavity ki bajaye kisi aur jagah ya ovary mein growth karta hai. Jabkeh normal halut mein aurat ka fertilize andaa uterus  ki cavity mein moqeem hota hai. Aksar mushahida kia gia hai keh taqreeban 89% is tarah ke cancer mein fertilized andaa felopin tube ki andarooni satha per moqeem ho kar barhta hai aurat ke liye ye buhat pacheedgian paida karta hai.

Causes (Asbaab)

Is coundition ki wajah aurat ko pahlay pelvic diseases ho sakti hai pait main appendix ke phatne ki wajah ho sakti hai tissues mein infection ho sakti hai.

Clinical Features (Ilamaat)

Aurat ko ghair normal bleeding shoro ho jati hai pait ke nichle hissey per aik lumps ban jata hai aur dard hota hai agar ectopic pregnancy Fallopian tubes kay andar ho to fallopian tubes phat jati hai. Aur mareeza kay pait mein shaded dard hota hai blood pressure gir jata hai aur mareeza ki halat serious hojati hai.

Laboratory Test

HCG hormones ki level kam hogi.
Ultrasound se pata chal sakay ga keh utérus ki cavity khali hogi.
Pelvice ki laparoscopy ki jaye agar is kay andar bleeding ho to vagina kay culdesac mein seringe kay zareeye khoon ko aspirate kia jaye. Jo peri tonium mien bleeding ko zahir karta hai is se ectopic pregnancy ki tashkhees ho jaye gi.

Treatment Ilaaj

Mareeza ko foran hospital dakhil karwaya jaye. Laparoscope kay zareeye Fallopian mien se tissues ko nikal dia jaye. Agar fallopian  tube phat chuki ho to ise mukammal tor par  nikal dein.
Mareeza ko anti biotics dein khoon ki kami poori karne ke liye blood transfusion ka intezam karein. Agar pait ki cavity mein bleeding ho to condition intehai serious hai. Mareeza ki intehai nighadasht ki jaye

Puerperal infection | Zachgi kay baad bukhar

Zachgi kay baad aura ton ko bukhar aur preshani aam hai. In ki teen hisson main taqseem karsakte hain.
1.    maternity Blues
2.    Post Partum Psychosis
3.    Post Natal Depressive illness
1. Zachgi kay do teen baad aura ton mien jazbaati napaa'edari, kharash pazeeri aur anso'on ki takleef ho jati hai ye taqreeban 50% aura ton mien hoti hai. Ye chand dinon mein theek ho jati hai.
2- post partum psychosis 500-1000 mein se sirf aik baar hoti hai. Yeh delivery kay do din baad shoro hoti hai aura ton mien preshani paida hoti hai aura ton mien yeh shubhaat paida hote hain keh bache ki shakal kharab hai yeh koi beemari hai ya koi hawai asar hai. Janoon paida hone se ise khialat ubharte hain keh ya khood kashi karlain ya bache ko qatal kardain.
Zachgi kay aik saal kay doran taqreeban 10 % maao'n  ko yeh dabao hota hai keh is kay sosraal walon ka kia salook hoga khawand ka rawayah kaisa hoga yeh soch kar in ko bukhar sa rahta hai.
In halat kay ilawa delivery kay baad andarooni infection ki wajah se aura ton ko bukhar hojata hai. Yeh bukhar 100 F se ziada hota hai yeh bukhar mandarjah zeel jarasim ki wajah se hota hai.
Strepetocus, E coli, enterococcus, peptostreptococcus waghairah.
Delivery se pehlay pani ki jhillia'n phat janay se jarasim vagina se oper uterus mien dakhil ho jate hain delivery kay doran zakhum aanay se infection ho jati hai aur bukhar charh jata hai agar infection khoon mien dakhil ho jaye to sakht bukhar hota hai pelvic ki wareedo'n mien zakham aane se bukhar laga tar charta hai aur bawajood anti biotique kay istemal kay kay istemaal kay taiz ho jata hai.

Laboratory Test

Mareezah kay khoon, peeshab, balghum ka test kia jaye chaati ka x-ray lia jaye servex  aur utérusse troobatain lay kar in ka culture kia jaye in testo'n se jarasim aur infection ka pat achale ga.

Treatment | Ilaaj

Mareeza ko agar bukhar depression ki wajah se hai to ise anti depression dain Citalopram, Fluozetin, Clomipramox mareezah ko dain. Khorak ki moqdaar 20-60 mg hai.
Ampicillin Injection 1gm bazarya wareed har 6 ghante baad lagain. (Delacin C Inj) 600-900 mg bazaria wareed har 8 ghante baad lagain.
Mareezah ki zahni pareshani dard karne kay liye ise tasali dain keh Allah ne kina khoobsurat bachah dia hai. Is se sosraal wale, waldain aur khawand  sabhi behad khosh hain.

Dermatoses of pregnancy

Hamal kay doran jild mien choti choti tabdeelyan aati hain yeh char tarah ki hain.
1-    hamal kay doran mukhtalif dhabay parna
2-    Polymorphic Eruption of pregnancy
Is tarah se surkh dhabbe pahli pregnancy kay aakhri semester mien nikalte hain yeh chobhne wale aable hotay hain. Aur ghalban choti phunsian hoti hain. Yeh amooman pait se shoro hote hain aur phir baazo'n aur raanon tak phail jatay hain naaf per nahi hote.

Treatment

Is condition ka ilaaj bland emollients aur lateef strides se kia jata hai. Bache ki paidaish kay baad garmi danay gaib ho jate hain.

Jan 7, 2011

Problems Of Men And Women In Urdu

1.     Aurat Kay Akhrajat Ki Zimmedari Mard Par Hai

Sawal: Kiya islam Orton ko is bat ki ijazat daita hai kay wo daftaron mein mardon kay dosh badosh kam karain? Halankay islam kehta hai ka in ka isal ghar aur kam ghar mein hai jahan in ko reh kar zimmedariyan puri karni hain akhir yeh bat kahan tak durust hai?
Aljawab: Kama kar khilanay ki zimmedari islam nay mard par dali hai ortain is bojh ko uthar kar apnay liye khud hi mushkilat paida kar rahi hain. Islam mein kamaee kay liye bay pardah honey ki ijazat nahin hai.

2.     Mard Aur Aurat Ki Haisiyat Mein Farq

Sawal: Kiya allah tala nay Aurat ko mard kay gham kam karnay kay liye paida kiya hai. jaisay mard hazrat ka dawa hai kayo rat ki koee haisiyat nahin isay allah tala nay mard kay liye paida kiya hai?
Aljawab: Allah tala nay nasal insani ki baqa kay liya insani jora banaya hai aur donon kay din mein aik dusray ka anas dala hai aur donon ko aik dusray ka mohtaj banaya hai. miyan biwi aik dusray kay behtarin monis-o-gham khowar bhi hain rafiq-o-ham safar bhi hain,baro madar gar bhi hai.

Aurat mazhar jamal hai aur mard mazhar jalal aur jamal aur jalal ka yeh amerza kainat ki bahar hai duniya mein musaraton kay phul bhi khilata hai aik dusray kay dukh dard bhi banata hai aur donon ko akhrat ki tayari mein madad bhi daita hai.

Fitrat nay aik kay nuqs ko dusray kay zariye pura kiya hai aik ko dusray ka moawin banaya hai Aurat kay baghair mard ki zat ki takmil nahin hoti aur mard kay baghair Aurat ka husn zindagi bhar nahin nikharta.

Is liye yak tarfator par yeh kehna kayo rat ko sirf mard kay liye paida kiya warna is ki koee haisiyat nahin bilkul ghalat hai haan yeh kehna sahih hai kay donon ko aik dusray ka gham khowar madar gar banaya hai.

3.     Mard Ka Achi Aurat Muntakhib Karna

Sawal: Mein nay aksar jagha parha hai kay mard achi Aurat ki talab kartay hain aur naik biwi chahtay hain aksar apni pasand ki shadi bhi kartay hain kiyunkay woh mard hain. Kiya yeh theek kartay hain?
Aljawab: Naik aur achay joray ki khowahish donon ko hai aur pasand ki shadi bhi donon kartay hain. Mein to is ka qail hoon kay apnay buzurgon ki pasand ki shadi ki jai.

4. Aurat Ka Waldain Kay Zariye Shadi Karna Behtar Hai

Sawal: Kiye Aurat apnay liye achay naik shohar ki khowahish na karay? Aurat kisi aisay shakhs ko pasand karti hai aur is say izzat say shadi karnay ki khowahish rakhti hain to is baray mein aap kiya kehtay hain? Kiyunkay hamaray mashray mein aisi harkat Aurat ko zaib nahin daiti jabkay mard apni khowahish puri karsakta hai.
Aljawab: Upper likh chukka hoon, akar larkiyan kisi shakhs ko pasand karnay mein dhoka kha laiti hain apnay khandan aur kumbay say pehlay cut jati hain in ki mohabbat ka malma chand dinon mein utar jata hai phir woh na ghar ki rehti hain nag hat ki. Is liye mein tamam bachiyon ko mashwarah daita hoon kay shadi dastur kay mutabiq apnay waldain kay zariye kiya karain.

5.  Nabi Karim Mohd Mustafa Ka Nikah Ka Paigham Hazrat Khadija Ki Taraf Say Aya Tha

Sawal: Mein nay aksar jagha kitabon min parha hai kay hazrat khadija razi allah tala anho nay hazoore akram mohd Mustafa say nikkah ki khowahish kit hi j okay hazoore akra mohd Mustafa nay baqool karli thi?
Aljawab: Sahih hai.

6.     Mojudah Dor Ki Aurat Kisi Ko Nikah Ka Paigham Kaisay Day

Sawal: Agar aaj aik naik momin Aurat kisi naik shakhs say shadi ki khowahish karay to is mein koee buraee to nahin hai jabkay Aurat apni khowahish bayan na karsakti ho to kiya karay. Kiyunkay agar bayan karti hain to waldain ki bhayon ki izzat ka masla ban jata hai agar waldain ki bat manay to apnay aap ko azab mein mubtala karna hoga?
Aljawab: Is ki surat yeh hai kay khud ya apni sahailiyon kay zadiye apni waldah tak apni khowahish pohonchaday aur yeh bhi kah day ka mein kisi bay din say shadi karnay kay bajai shadi na karnay ko tarjih doon gi aur allah tala say dua bhi karti rahay.

7.     Pasand Ki Shadi Par Mardon Kay Tanay

Sawal: Agar Aurat apni khowahish say shadi kar bhi lay to yeh mard hazrat tana daina apna farz samajhtay hain jabkay Aurat kam hi aisa karti hogi aisay hazrat kay baray mein aap kiya jawab dain gah?
Aljawab: Ji nahin. Sharfif mard kabhi apni biwi ko tana nahin day ga isi liye to mein nay upper arz kiya kay aaj kal kachi umar aur kachi aqal ki larkiyan mohabbat kay jal mein phans kar apni zindagi barbad kar laiti hain.

Na kisi ka hasb o nasib daikhti hain na akhlaq o sharafat ka imtehan karti hain jabkay larki kay waldain zindagi kay nashaib-o-faraz say bhi waqif hotay hain aur yeh bhi aksar jantay hain kay larki aisay shakhs kay sath nibha kar sakti hai ya nahin. Is liye larki ko chahiye kay waldain ki tajwiz par aitemad karay apni na tajarba kari kay hathon dhoka na khai.

8.    Shohar Ki Taskhir Kay Liye Aik Ajib Amal

Sawal: Meri shadi ko do sal huway hain. Mujhe shadi say pehali kuch surtain, kuch duain, aur ayat waghairah parhnay ki adapt thi. Ab wo aisi adapt hogaee hai kay paki,napaki ka kuch khayal nahin rehta aur woh zaban par hoti hain. Khayal anay par ruk jati hoon magar phir wohi. Is liya aap say yeh bat puch rahi hoon kay agar kisi gunah ki murtakib horahi hoon to agahi hojai is kay alawah mein apnay shohar ki taraf say bohot paraishan hoon. Mujhay bohot paraishan kartay hain koee tawajoh nahin daiti ham donon mein apas mein zehni ham ahangi kisi tor nahin hai. bohot koshish karti hoon lakin bay inteha shakki hain.
Aljawab: Napaki ki halat mein qurani duain to yad hain magar tilawat jaiz nahin agar bhool kar parh lain to koee gunar nahin, yad anay par foran band kardain. Shohar kay sath na mowaqifat bara azab hai laikin yeh azab admi khud apnay upper musallat karlaita hai. khilaf tabah chizain to paish ati hi rehti hain laikin admi ko chahiye kay sabar-o-tahammul kay sath khilaf taba baton ko bardasht karay.

Sab say acha wazifa yeh hai kay khidmat ko apna nasbul ain banaya jai shokar ki bat ka lot kar jawab na diya jai na koee chubhti huee bat ki jai. Agar apni ghalati ho ti is ka aitraf karkay mafi mang li jai. Algharaz khidmat, iat, sabar-o-tahammul aur khush akhlaqi say barh kar koee wazifa nahin yehi amal taskhir hai jis kay zariye shohar ko ram kiya ja sakta hai.

Iss say barh kar koee amal taskhir mujhay maloom nahin agar bilfarz shohar sari umar bi sidha ho kar na chalay to bhi Aurat ko duniya-o-akhrat mein apni naika ka badla dair sawair zarur milay ga air is kay waqiyat maray samnay hain aur jo ortain shohar kay samnay tar tar bolti hain in ki zindagi duniya mein bhi jahannam hai akhrat ka azab to abhi anewala hai. behan bhayon kay liye rozana salat alhajat  parh kar dua kiya kijay.

9.    Khowatin Ka Ghar Say Bahar Nikalna

Sawal: Aurton kay ghar say nikalnay ya na na nikalnay par shariyat islamiya mein kis hat tak pabandi hai?
Aljawab: Aurton kay liye asal kam to yeh hai kay baghair zarurat kay ghar say bahar qadam na rakhain. Chunanchay surat alahzab ki ayat number 33 mein azwaj mutahrat ko hukam hai “tum apnay gharon mein qarar say raho.”
Murad is say yeh kay mahaz kapra orh kar pardah karlainay par kifayat mat karo balkay pardah is tariqay say karo kay badan mah libas nazar na aaey jaisa aaj kal sharfa mein pardah ka tariqa mutarif hai kay ortain gharon say hi nahin nikaltin albatt mowaqeh zarurat dusri dalil say mustashna hain aur isi hukam ki takis kay liyd irshad hai kay qadim zamana jahliyat kay dastoor kay mawafiq mat phiro jin mein bay pardagi raij thi go bila fahash hi kiyun na ho aur qasdim haliyat say murad woh jahliyat hai kay bad talim-o-tabligh ahkam islam kay in par amal na kiya jai pas jo tabraj bad islam hoga woh jahliyat akhri hai.

Is par shayad kisi ko yeh khayal ho kay yeh hukam to sirf azwaj mutahrat riwanaullah alhain kay sath khas hai. magar yeh khayal sahih nahin. Hazrat mufti mohd shafi sahib ahkamul quran mein likhtay hain kay is ayate karima mein panch hukam diye gai hain.

1.    Ajnabi lognon kay sath nazakat say bat karna
2.    Gharon mein jam kar baithna.
3.    Namaz ki pabandi karna.
4.    Zakat ada karna.
5.    Allah tala aur rasul mohd mustafa ki itat karna.

Zahir hai kay yeh tamam ahkam aam hain. Sirf azwaj mutehrat razi allah anhon kay sath mukhsus nahin. Chunan chay tamam aima mufasarin is par muttafiq hain kay yeh ahkam sab musalman khowatin kay liye hain. Hafiz ibne kasir kehtay hain kay yeh chand adab hain jin ka allah tala nay anhazarat mohd Mustafa ki azwaje mutehrat ko hukam farmaya hai aur ahle iman ortain in ahkam mein azwat mutehrat kay tabeh hain.

Albatta zarurat kay moqon par Orton kay chand sharait ki pabandi kay sath ghar say nikalnay ki ijazat hai. hazrat mufti sahib nay ahkamulquran mein is silsilay ki ayat o ahadis ko tafsil say likhnay kay doran sharait ka khulasa hasbe zail naqal kiya hai.

1.    Nikaltay wat khush bon a lagain aur zenat ka libas na pehnain balkay mailay kuchailay kapron mein nilain.
2.    Aisa zever pehan kar na niklain jis mein awaz ho.
3.    Zamin par is terha paon na marain kay in kay khufia zevrat ki awaz kisi kay kan mein paray.
4.    Apni chal mein itranay aur mataknay ka andaz ikhtiyar na karain jo kisi kay liye kashish ka bais ho.
5.    Rastay kay darmiyan mein na chaplain balkay kanaron par chaplain.
6.    Nikaltay waqt bari chadar orh lain jis say sar say paon tak pura badan dhak jai sirf aik ankh khuli rahai.
7.    Apnay shohron ki ijazat kay baghair ghar say bahar na nilain.
8.    Kisi ajnabi say bat karnay ki zarurat paish aaey to in kay lab o lehjay mein narmi aur nazakat nahin hona chahiye jis say aisay sheikhs ko tamah ho jis kay din mein shehwat ka marz hai.
9.    Apni nazrain past rakhain hatta alwaseh na mehram par in ki nazar nahin parti chahiye.
10.    Mardon kay majmah mein na ghusain.

Iss say yeh bhi wazeh hojata hai kay parliament waghairah ki rukniyat qabool karna aur mardana majmon mein taqrir karna Orton ki niswaniyat kay khilaf hai kiyunkay in surton mein islami satar o hijat ka malhuz rakhna mumkin nahin.

10.    Aurton Ka Tanha Safar Karna

Sawal: Aurat kay tanha safar kay baray mein shariyat ka kiya hukam hai?
Aljawab: Aurat kay baghair mahram kay safar karna jaiz nahin. Hadis mein is ki mumaniyat aaee hai. chunanchay sahah sata, mota imam malik, masnad ahmed aur hadis kay tamam matad awal majmon mein mutadid sahaba karam rizwanaullah alaihim ajmaeen ki riwayat say anhazrat mohd Mustafa ka yeh irshad maqqul hai kay kisi Aurat kay liye jo allah tala par aur akhrat par iman rakhti ho halal nahin kay baghair mahram kay tin din ka sar karay jis say maloom hota hai kay baghair mahram kay safar na karna Aurat ki niswaniyat ka imani taqaza hai. jo Aurat is taqazai imani ki khilaf wazir karti hai woh fal haram ki murtakin hai. kiyun kay is fal ko anhazrat mohd Mustafa la yahal far fama rahay hain.

11.     Aurton Ka Judge Banna

Sawal: Islami shariat mein aurat ka judge banana jaiz hai ya nahi?
Aljawab: Aisay tamam manasib jin mein hark as o nakas kay sath ikhtelat aur mail jol ki zarurat pesh ati hai shariyat islami nay in ki zemmedari mardon par aid ki hai aur Orton ko is say subukdosh rakha hai inhi zimmedariyon mein say aik judge aur qazi bannay ki zimmedari hai. Aan Hazrat Mohammad Mustafa aur Hazrat Khulfa Rashedin Rizwan Allah Alaihim kay zamanay mein bari fazil khowatin mojud theen magar kabhi kisi khatoon ko judge aur qazi bannay ki zehmat nahin di gaee. Chunan chay is par aima arba ka ittefrraq hai kayo rat ko qzi aur judge banana jaiz nahin. Aima salasa kay nazdik to kisi mamlay mein is ka faisla nafiz hi nahin hoga. Imam abu hanifa kay nazdik hadud o qasas kay ma siwa mein is kai faisla nafiz hojaiga. Is ko qazi banan gunah hai. fiqa hanafi ki mashoor kitat dar mukhtar mein hai.

Tarjumah:
“Aur Aurat had o qasas kay ma siwa mein faisla kar sakti hai. agar chay is ko faisla kay liye muqarar karnay wala gunar gar hoga kiyunkay sahih bukhari ki hadis hai kay woh qom kabhi falah nahin paigi jis nay apna mamla Aurat kay supurd kardiya.”

12.     Aurat Ko Sabarah Mumlikat Banana

Sawal: Kiya Aurat sabarah mumlikat ya intezami sarbarah ban sakti hai?
Aljawab: Islami mashray mein Aurat ko sarbarah mumlikat bananay ka koee tasawur nahin. Hadis mein hai kay aan hazrat mohd Mustafa ko ittela mili kay ahle faris nay kara ki beti ko badshah bana liya hai to aap Hazarat Mohammad Mustafa nay farmaya.
“Woh qom kabhi falah yab nahin hogi jis nay apna mamla Aurat kay supurad kardiya.
Aik aur hadis hai.”

Jab tumharay hukam tom mein sab say achay log hon tumharay maldar sab say sakhi aur kushadah dast hon aur tumharay mamlat apas kay mashwaray say tay hon to tumharay liye zamin ki pusht is kay pait say behtar hai aur jab tumharay hukam buray log hon tumharay maldar bakhil hona ur tumharay mamlat Aurton kay supurd hon to tumharay liye zamin ka pait is ki pusht say behatar hai (Yani aisi surat mein jinay say marna acha hai) chunacnay ummat ka is par ittefaq o ajmah hai kayo rat ko sarbarah mumlikat bnana jaiz nahin.
Shah wali ullah mahdis delvi azala alkhafa mein sharait khilafat par behass kartay huway likhtay hain.
Tarjumah
Aur aik shart yeh hai kay sarbarah mumlikat mard ho Aurat na ho kiyunkay sahih bukhari mein aan hazrat mohd Mustafa ka irshad hai ma aflah qom walwa amar ham amrah jab aan hazarat mohd Mustafa ko yeh ittelah pohonchi kay ahlay faris nay kasra ki beti ko badshah banaliya hai to farmaya kay woh qom kabhi falah nahin paigi jis nay apni badshahi ka mamla Aurat kay supurd kardiya naiz is liye kayo raat fitratan naris ul aqal waldain hai jang o paikar mein bekar hai aur mehfilon aur mujlison mein hazir honay kay qabil nahin hain is say maqasid matluba puray nahin hosakta


Jan 6, 2011

Male Weakness

MARDANA KAMZORI



Mardon ka ahem tareen masla Erectile Dysfunction (mardana kamzori) hai. Erectile dysfunction ko aam tor sey male impotence kaha jata hai.Iss mein ba'az auqaat to mard ko tana'u hota hi nahin ba'az afraad ko tana'u to hota hai magar dakhool kay waqt ek dum khatam ho jata hai aur kuch afraad ka tana'u dakhool kay ba'ad khatam ho jata hai jis ki wajah sey woh mubashrat ko jari nahin rakh sakta. Agar yeh masla kuch arsa jari rahey to ba'az intehaee surton mein naujawan pagal ho jatey hain aur ba'az khudkushi tak kar letey hain iss surat mein shaadi ka qayem rehna na mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Merey paas kaee aisey cases aaey jahan iss wajah sey alaehdgi ho gaee sharmindagi ki wajah sey yeh log jald elaj kay liye nahin aatey, amooman yeh log surat e haal kafi bigarrney kay ba'ad aatey hain. Jab fard ko kisi bhi waqt tanau hota ho to iss ka masla jismani nahin bul kay nafsiyati hota hai yeh masla jawani mein taqreeban 100% nafsiyati hota hai aksar wajah naakami ka khauf aur khud lazzati kay hawaley sey kamzori ka khauf aur wahem hota hai albatta 40 saal ki umar kay baad bohut sey logon kay masley ki wajah jismani ho sakti hai. Yeh beemari ya kisi beemari ki adviyat kay side effects hotey hain.
Biwi agar chahey to woh apney mian ki madad kar kay uss ki izzat, jaan aur apni shaadi ko bacha sakti hai aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai iss kay liye sab sey pehley biwi ko khud mardana kamzori ka elaj karney ki koshish karni chahiyie. Iss silsiley mein bunyaadi baat yeh hai kay agar biwi ko aisi surat e haal ka saamna ho to woh kabhi ghussey, pareshani aur afsos ka izhaar na karey, mian per tunz na karey bul kay uski hosla afzaee karey usey bataey kay woh bilkul normal hai aaj nahin to kal woh kamyaab ho jaey ga iss silsiley mein pareshan honay ki zaroorat nahin iss kaam kay liye saari umar parri hai.

Jan 5, 2011

PRAGNANCY AND INTERCOURSE

PRAGNANCY AND INTERCOURSE (HAMAL OR MUBASHRAT)



Hamal ka arsa 9 maah per mushtamil hota hai itna arsa amooman kisi bhi mard kay liye jinsi amal sey perhaez karna bohut mushkil hai, khwateen mein bhi jinsi khwahish maand nahin parti bul kay 80% khwateen ki jinsi khwahish mein hamal ki doosri seh maahi (4 ta 6 maah) mein izaafa hojata hai. Agarcha aakhri 3 maah mein aksar khwateen ki jinsi khwahish aur dilchaspi kam ho jati hai. Master & Johnson ki research kay mutabiq ek sehat mand haamla aurat kay sath bachey ki paedae'sh sey 4 haftey qabal tak mehfooz tor per mubashrat ki ja sakti hai.

 

HAMAL K AKHRI MAHINAY


Ba'az afraad to aakhri din tak bhi mubashrat jari rakhtey hain Master & Johnson kay mutabiq bachey ki paedae'sh kay 3 haftey ba'ad aurat sehatyaab ho jati hai aur uss sey mubashrat ki jasakti hai iss doran uski jinsi khwahish wapis aa jati hai. Woh khawateen jo miscarriage ya abortion ka tajurba kar chuki hain unn kay liye yeh behter hai kay woh hamal kay poorey arsey mein khusoosan pehley chund hafton aur aakhri hafton mein mubashrat aur doosri jinsi sargarmi jis kay nateejey mein aurat orgasm hasil karey, bachna chahiyie kyun kay orgasm ki hamil jinsi sargarmi sey miscarriage ka khatra barh jata hai.  Iss tarah kuch doosrey maahireen kay mutabiq hamal kay aakhri 6 hafton mein behter yehi hai kay mubashrat na ki jaey aakhri hafton mein mubashrat ki wajah sey labor pains (labor ka dard) pehley shuru ho sakta hai iss tarah bacha waqt sey pehley paeda ho jata hai. Hamal kay 6 maah pehley tak to aam haalaat ki tarah mubashrat ki jasakti hai aur itni hi baar ki ja sakti hai jitni bar pehley hoti rahi hai albatta aakhri maah perhaez karna behter hai iss doran biwi khawand ko mutabadil jinsi tariqon (sexual satisfaction alternatives) sey jinsi sukoon muhayya kar sakti hai.

Hamal kay doran khusoosan aakhri mahinon mein mubashrat ka missionary tariqa yani aurat neechey waley tariqey ko bilkul tark kardiya jaey albatta ibteda'ee dinon mein ek do maah yeh tariqa istaemaal kya ja sakta hai. Hamal kay doran mubashrat ki sab sey behter position pehlu ba pehlu (side by side) hai iss kay elawa aagey peechey wala tariqa (rear entry) bhi ikhtiyar kya ja sakta hai. Hamal kay aakhri chund hafton kay doran missionary tariqa ikhtiyar karney sey jhilli qabal az waqt phatt jati hai aur bachey ki paeda'esh qabal az waqt ho jati hai. Delivery kay ba'ad aurat kay jinsi radd e amal mein 50 % kam aa jati hai magar 3 hafton kay ba'ad uski jinsi khwahish wapis aa jati hai aur woh normal ho jati hai jaisa kay pehley bataya ja chuka hai Master & Johnson kay mutabiq delivery kay 3 hafton kay ba'ad mubashrat ki ja sakti hai lekin agar aurat ko khoon aa raha ho ya operation hua ho to khoon kay bund honay aur zakhm kay mundamil honay ka intezar karna chahiyie.

Jan 4, 2011

PAINLESS DELIVERY

PAINLESS DELIVERY

 DARD K BAGHAIR DELIVERY

 

Shaadi kay ba'ad aurat ki sab sey bari khwahish yeh hoti hai kay woh jald maa'n baney ek taraf usey bachey ki shadeed khwahish hoti hai doosri taraf paeda'esh kay amal ka shadeed khauf. Agarcha amooman labor ka dard bohut takleef deh nahin hota magar iss dard ka khauf la'shaoori tor per nasal dar nasal muntaqil hota aa raha hai iss khauf ki wajah sey kuch khawateen haamla nahin hotiin aur bohut si haamla 9 mahiney isi khauf ka shikaar rehti hain jis ki wajah sey woh depression aur tashweesh mein mubtala ho jati hain. Inn mein sey bohut si khawateen ka blood pressure buland ho jata hai jis ki wajah sey hamal aur zichgi mein paecheedgiyan paeda ho jati hain hamal kay doran mein maa'n ki zehni kaifiyat bachey kay zehen aur nafsiyat ko bohut muta'assir karti hai. Isi liye kaha jata hai kay hamal kay doran main maa'n ko har fikr sey azaad ho kar hashaash bashaash aur khush o khurram rehna chahiyie lekin woh bohut si maa'ein jo hamal kay doran mein khauf ka shikar rehti hain unki yeh zehni kaifiyat unn kay bachon ki shakhsiyat ki normal nashaunuma mein bohut bari rukawat hoti hai jis ki wajah sey yeh bachey barey ho kar bohut sey nafsiyati masail ka shikar ho jatey hain. Taqreeban 50% aurtein hamal kay foran ba'ad matli mehsoos karti hain, ba'az ko ultiyan aaney lagti hain nateejatan unko hospital mein daakhil hona parta hai teen mein sey do khawateen ko seeney mein jalan mehsoos hoti hai ba'az khawateen ko qabz ki shikayat ho jati hai hamal kay doran bey khwabi ka masla bhi aam hai bohut si khawateen jismaani thakawat aur tension mehsoos karti hain inn tamam masail kay hal kay liye adviyat Khusoosan sukoon aawar adviyat istemaal ki jati hain jin kay burey asraat bachon tak pohonchtey hain.

 

Labor Pains - Labor Ka Dard

 

 Labor pains (labor ka dard) to taqreeban har aurat mehsoos karti hai koi kam aur koi zyada yeh dard har aurat ko bardaasht karna hi parta hai iss dard ko control karney kay liye amooman adviyat kay istaemaal sey guraez kya jata hai kyun kay iss surat mein adviyat ka istaemal nuqsandeh ho sakta hai. Isi tarah paeda'esh kay aakhri marhaley main maa'n ko bohut takleef hoti hai iss aakhri dard ko control karney kay liye amooman bey hiss karney wali adviyat istaemaal ki jati hain jo ba'az auqaat bohut nuqsan deh sabit hoti hain aaj kal iss dard ko control karney kay liye kamar mein teeka lagaya jata hai jis ka apna dard hai.

 

Hynotherapy Kay Fawa'ed


Hypnotherapy ki madad sey 95% sey zyada khawateen apni tension, khauf aur khadshaat ko control kar sakti hain iss ki madad sey khawateen apney aap ko pursukoon aur relax karsakti hain jiski wajah sey blood pressure, depression, tashweesh kay masail amooman paeda hi nahin hotey taa'hum agar yeh masail paeda bhi ho jaein to hypnotherapy ki madad sey in ko aasani sey control kya ja sakta hai. Matli, ultiya'n, seeney ki jalan haamla khawateen kay ahem masail hain 75% khawateen hypnotherapy ki madad sey inko aasaani sey control karsakti hain qabz aur bey khwabi kay masail ko bhi aasani sey hal kya ja sakta hai iss tarah khawateen aur unn kay bachey adviyat kay burey asraat sey mehfooz rehtey hain. Zichgi ka ahem marhala labor pain ka hai jo ghanton jari rehta hai hypnotherapy ki madad sey labor pain kay waqt mein 4 ghanty tak kami ki ja sakti hai iss marhaley main haamla 'shakhsi hypnotism' ki madad sey apney dard ko bohut kam kar leti hai.  (mukammal khatam karna munasib nahin hota agarcha dard ko mukammal khatam kya ja sakta hai) woh dard ki bajaey ma'amooli daba'u mehsoos karti hai phir aakhri marhaley mein mareeza khud hi apney jism kay paeda'esh sey muta'alliq hisson ko baghaer kisi dawa kay sunn karleti hai jis ki wajah sey bacha baghaer kisi dard kay paeda'esh ki naali sey baher aa jata hai. Bachey ki paeda'esh kay ba'ad hypnotism ki wajah sey mareeza gehri aur pursukoon neend mein chali jati hai aur baedaar honay per bohut khush o khurram, pursukoon aur relax mehsoos karti hai woh kisi qism ki thakawat mehsoos nahin karti kyun kay iss surat mein koi teeka ya dawa istaemaal nahin hoti le'haza mareeza aur bacha dawa kay har qism kay muzir asraat sey mehfooz hotey hain. Iss tariqey sey tamam khawateen mukammal tor per mustafeed nahin hotiin ta'hum 70% khawateen dard ko mukammal tor per control karleti hain jab kay 90% tension, khauf, seeney ki jalan aur neend kay masail ko control kar leti hain.   Hypnotherapy ka ek aur ahem faeda yeh bhi hai kay iss ki madad sey mareeza hamal ka sara arsa bohut pursukoon aur relax rehti hai jis ki wajah sey uss ki chaati mein doodh bhi khoob jama hota hai chuna'cha bachey ko khoob paet bhar kar doodh milta hai yeh baat sabit ho chuki hai kay khauf aur tension ki wajah sey na sirf maa'n ki chati mein doodh kam paeda hota hai bul kay abortion ka khatra bhi barh jata hai. Hypnotherapy ki wajah sey chu'nkay haamla majmooee tor per bohut pursukoon hoti hai jis ki wajah sey na sirf abortion ka khatra kam ho jata hai bul kay operation kay imkanaat bhi bohut kam ho jatey hain. Aur agar operation ho bhi to hypnotism ki wajah sey zakham taezi sey mundamil ho jatey hain hum Pakistan mein iss tariqey ko kamyaabi kay sath istaemaal kar rahey hain behter yehi hai kay hamal kay ibteda'ee dinon sey hi   Iss tareeqey sey faeda uthaya jaey taa'hum iss tareeqey sey kisi bhi waqt faeda uthaya ja sakta hai. Bachey ki paedaesh kay ba'ad taqreeban 50 ta 80% khawateen depression ka shikar ho jati hain jiss mein woh shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karti hain unki neend kam ho jati hain bhook nahin lagti aur amooman jinsi khwahish kam ho jati hai ba'az auqaat yeh depression kaee maah tak jari rehta hai, iss silsiley mein kisi achey doctor sey raabta kya jaey.

Jan 3, 2011

SHAADI KI PEHLI RAAT

(SUHAAG RAAT)

Humarey haan aksar yeh baat ma'aroof hai kay shaadi ki pehli raat mubashrat honi zaroori hai warna valima ja'ez na hoga haala'n kay Quran o sunnah ki roshni mein iss baat ki koi haqeeqat nahin humarey haan amooman nikah raat ko bohut late hota hai aur dulhan ko ghar pohonchtey pohonchtey raat kay do, dha'ee baj jatey hain iss doran donon thak kar chuur ho chukey hotey hain pehli raat donon thakawat, khauf, ghabraahat, nervousness aur hichkichahat ka shikar hota hai, khusoosan agar mian biwi pehley sey ek doosrey sey waqif na hun humarey haan aksar aisa hi hota hai larki apna ghar chor kar naey ghar aur naey logon mein aati hai usey khauf hota hai kay na janey susraal kay log kaisey hongey, khawand ka ravaiyya kaisa hoga. Doosri taraf larkey ko sex kay hawaley sey nakaami ka khauf hota hai kay aayah woh mubashrat kar sakey ga ya nahin larki ko bhi mubashrat ki takleef ka khauf hota hai iss khauf aur tashweesh ki wajah sey aurat ki faraj ka dahaana tung ho jata hai aur faraj kay ander chiknaahat ki kami ho jati hai, larka samajhta hai kay agar iss ney pehli raat mubashrat na kii to larki samjhey gi shayad mian iss qabil nahin haala'n kay jawani mein har mard jismani le'haz sey normal aur jinsi amal ka ahel hota hai albatta khauf aur zehni daba'u ki wajah sey ba'az auqaat tanau (erection) nahin hota ya aen moqa per khatam ho jata hai jo kay bilkul fitri amar hai kyun kay khauf aur zehni daba'u tanau kay dushman hain, le'haza iss surat e haal kay paesh e nazar pehli raat sex ko zyada ehmiat hasil nahin honi chahiyie chuna'ncha pehli raat mubashrat na karna donon kay liye mufeed hai.Behter hai kay pehli raat dulha aur dulhan gup shup lagaei'n ek doosrey sey waqif hun ek doosrey ko samjhein, ek doosrey ki pasand na pasand sey aagaahi hasil karein ek doosrey kay jazbaat aur ehsaasaat aur khwahishaat ko janei'n. Mubashrat kay elawa ka'ee doosrey tariqo'n sey jinsi lutf hasil kya ja sakta hai maslan pyar o muhabbat ki baatein, biwi mian ki taareef karey, bos o kinar sey lutf andoz hunm ek doosrey kay jism kay lums sey lazzat hasil karein, ek doosrey kay jism per hath phaerein, massage karein. Ek doosrey ko galey lagana, bhee'nchna, baghalgeer hona aur lipatna waghaera bohut lutf angaez hota hai aur phir ek doosrey sey lipat kar so jaei'n lekin agar donon ek doosrey sey waqif bhi hun to phir bhi pehli raat mubashrat karni zaroori nahin. Amooman thakawat ki wajah sey donon zyada lutfandoz nahin hotey taa'hum agar donon fresh hun, raazi hun ya khawand ka israar ho to aap inkaar na karein iss sey amooman tulkhi paeda ho jati hai. Ba'az auqaat yeh inkaar mustaqil tor per mian biwi kay ta'alluqaat mein zeher ghol deta hai. Waisey bhi Allah kay nabi kareem ne biwi ko inkaar karney sey sukhti sey mana farmaya hai aur aisi aurat per farishtey saari raat la'anat bhejtey hain chuna'ncha inn donon surto'n ein pehli mubashrat mein harj nahin aur iss sey lutfandoz honay ki koshish karein. Ta'hum behter yehi hai kay pehley do din ek doosrey ko samajhney, maanoos honay aur ek doosrey kay jazbaat, ehsaasaat, khwahishaat aur pasand, na pasand ko jan'ney mein guzarein inn dino'n mein mubashrat kay elawa mazkoora baala tariqo'n sey jinsi lutf hasil karein albatta jab bhi mubashrat karni ho to uski tayyari karein, din ko aaraam karein mian ki pasand kay pur kashish aur sexy kaprey pehnein.


 PREPARATION OF FIRST INTERCOURSE:

Halka sa makeup karlein, shaam ko khana halka aur jaldi kha lein kaam sey wapsi per mian ka muskuratey huey pur josh istaqbaal karein usey bataein kay aap ney uss kay intezar mein saara din bechaeni mein guzara. Shaam ko ghusl karlein, tooth brush karna na bhoolein apney jism aur libaas ko khawand ki pasand ki khushboo sey mu'atter karein, kamrey kay mahol ko khoobsurat aur purkashish banaein (mubashrat kay aadaab (preparation of intercourse) waley hissey ko ek baar phir parh lein).
Mubashrat sey kam az kam 20 ta 30 minute pehley mohabbat kay khel (foreplay) sey lutfandoz hun (tafseel kay liye 'mohabbat ka khel' waley hissey ka muta'alla karein) hatta kay aap ki faraj mein chiknaahat (lubrication) paeda ho jaey phir mubashrat kay tariqa number 1 ko istimaal kartey huey mubashrat karein, behter hai kay mian ka zakar bhi chikna ho iss tarah dakhool mein aasaani hogi aap ki taangei'n khuli magar zyada ooper na hun dakhool kay waqt apney jinsi lubo'n ko kholein aur zakar daakhil karney mein khawand ki madad aur rehnumaee karein. Iss kay liye zaroori hai kay aap ko khud bhi ilm ho kay faraj kahan hai, kuch aurtein dakhool kay waqt parda e bakarat (hymen) phatney per kuch dard mehsoos karti hain aur kuch khoon bhi nikalta hai magar uss kay sath bey panaah lutf bhi aata hai agar parda e bakarat pehley hi phata hua hai to takleef kam hoti hai, parda phatney ki surat mein dobara foran mubashrat na karein, zakhm ko ek aadh din kay liye mundamil honay dein amooman pehli mubashrat donon mian biwi kay liye kuch takleef deh hoti hai lekin agar khawand zakar ko chikna karley, tez jhatkey na lagaey aur aap jism khusoosan faraj kay baerooni muscles ko dheela chor dein to amooman mubashrat mein takleef nahin hoti. Pehli mubashrat ko aasaan bananey aur khauf ko khatam karney kay liye chund baar tasawwur mein mubashrat karlein iss sey aap ka khauf khatam ho jaey ga aur mubashrat aasaan hogi.


Ba'az auqaat faraj tung hoti hai ya dakhool kay waqt faraj ka mu'nh (entrance) wahan zyada khoon aa janey ki wajah sey sooj kar tung ho jata hai to aisi surat mein dakhool bohut mushkil ho jata hai iss kay liye khawand 20/30 minute kay foreplay kay ba'ad apni shahadat ki ungli (naakhun katey hun) chikni kar kay faraj mein ahista ahista daakhil karey, iss kay sath hi aap bhi faraj kay muscles ko dheela chor dein. Iss sey takleef kam hogi thori der ba'ad ungli ko ander baher harkat dey jab aap isey bardaasht karlein to phir khawand apni angoothey kay sath wali do ungliyaa'n chikni kar kay faraj mein ahista ahista daaley, thori der kay baad unko ander baher harkat dey iss sey amooman parda e bakarat (hymen) phutt jata hai kuch khoon bhi nikalta hai aur ma'amooli si takleef bhi hoti hai magar iss sey zabardast jinsi josh bhi paeda hota hai. Ungliyon kay dakhool kay ba'ad zakar ka dakhool aasaan hojata hai jab khoon kam ho jaey to phir khawand chikney zakar ko tariqa no. 1 kay mutabiq ahista ahista faraj mein daakhil karey aur ahista ahista jhatkey laganey kay sath hi woh aap kay bazer ko bhi mushtail karey, bazer ko aap khud bhi mushtail kar sakti hain. Aurat kay lutf kay liye bazer ka ishtiaal bohut mufeed hai agar aap relax ho kar mubashrat mein bharpoor ta'awwun kareingi to aap ko takleef na hogi ya phir bohut hi ma'amooli hogi lekin agar zyada takleef ho to ek din kay liye mubashrat multawi kar dein ta'kay zakhm mundamil ho sakey. Dakhool kay ba'ad donon mian biwi per ghusl laazim ho jata hai chahey mian ka inzaal hua ho ya na ho. Ghusl e janabat jitni jaldi ho utna hi behter hai taa' kay insan jald paak ho jaey.

 

 SUHAAG RAAT OR MENSES

  Ba'az auqaat suhag raat ko aurat ko haez (menses) shuru ho jata hai jis ki wajah sey khawand ko sukht pareshani ka samna karna parta hai usey zabardast tanau ho raha hota hai jo kisi surat khatam nahin hota mubashrat woh kar nahin sakta aisi intehaee surat mein mard kay zakar aur khusyon mein shadeed dard honay lagta hai woh mard jinhon ney kabhi khud lazzati (masturbation) nahin ki hoti unn kay liye ye ek nehayat sangeen masla hota hai kyun kay agar mard ko 4 ghanto'n sey zyada der tana'u rahey to woh mustaqil tor per na mard ho sakta hai chuna'ncha aisi surat mein biwi ko sharam ek taraf rakhtey huey chahiyie kay woh khawand kay hassas hisson khusoosan zakar ko chikney hathon sey mushtail karey hatta kay woh manzil (discharge) ho kar sukoon hasil karey.

 

 MUBASHRAT K BAAR (AFTERPLAY)
Allah kay nabi ney mubashrat kay foran ba'ad alaehda honay sey mana farmaya hai mojooda mahireen ney bhi afterplay ko bohut ehmiyat di hai, taqreeban tamam mahireen kay nazdeek yeh na sirf bohut ahem bul kay nihayat zaroori hai aur yeh orgasm sey bhi behter hai khusoosan khawateen kay liye. Le'haza orgasm kay foran ba'ad mian sey alaehda na ho jaei'n aur bister sey bahir na nikal jaei'n bul kay uss kay jism kay sath jism mila kar leti rahei'n uss kay jism per hath phaerei'n, choomei'n, uss kay sath baghalgeer hun aur usko bhee'nchein waghaera. Mian ko bataei'n kay woh kis qadar taaqatwar hai aur aap ney uss kay qurb aur mubashrat sey kis qadar lutf uthaya, usey bataei'n kay woh ek shaandaar mohabbat karney wala (lover) hai yani uski ta'areef karein usey bataein aaj kay jinsi amal (love making) mein aap ko sab sey acha kya laga taa kay woh aaenda bhi aap ko isi tarah khushi aur lazzat dey. Safaee waghaera kay ba'ad us kay seeney ya baazu per ser rakh kar so jaein, ikatthey soney ka ek yeh fa'eda bhi hai kay mian ko raat kay waqt phir tanau (erection) ho sakta hai to iss surat mein ek baar phir jinsi amal (love making) sey lutf uthaya ja sakta hai. Mubashrat kay kuch der ba'ad donon ikatthey naha bhi saktey hain mian kay jism per sabun lagaein, usey mulei'n, maqsad mael utarna nahin bul kay lutf hai . Us kay jism per massage karein aur phir uss kay jism ko khushk karein shaadi kay ibtidaee saalo'n mein nahatey huey aap kay jism kay lums sey khawand ko phir tana'u aa sakta hai nahatey waqt mubashrat ka lutf bohut munfarid hai.

 

 GUSAL-E-JANABAT KA TARIQA
Mubashrat mein dakhool kay ba'ad aurat per ghusal lazim ho jata hai iss kay liye mard ka inzal hona ya aurat ka orgasm hasil karna zaroori nahin iss tarah jab bhi koi cheez faraj mein daakhil hogi to aurat per ghusl wajib ho jaey ga iss kay elawa kisi bhi wajah maslan khwab ya tasawwuraat ki wajah sey faraj sey pani beh nikley to bhi ghusl e janabat lazim ho jaey ga.

Ghusl e janabat kay liye pehley donon hathon ko dhoya jaey phir sharam gaah ko achi tarah dho liya jaey aur ek baar phir hathon ko achi tarah saaf kar liya jaey iss kay baad namaz kay wuzuu ki tarah wuzuu kya jaey phir ungliyaan pani mein tarr kat kay baalon ki jarron ka khalaal kar liya jaey phir poorey jism per pani baha diya jaey kay jism ka koi hissa tarr honey sey na reh jaey albatta khawateen ko apney baal kholney ki zaroorat nahin sirf inn per pani baha liya jaey. (muslim, bukhari)
.

Jan 2, 2011

FEMALE SEXUAL MISCONCEPTION

KHAWATEEN K JINSI MUGHALTAY

Mardon ki tarah aurtein bhi bohut sey jinsi maghaliton (sexual misconceptions) ka shikar hain jo inki azdwajii khushyion mein bohut bari rukawat sabit hote hain. Azdwajii khushyion kay liye khawateen ko na sirf apney bul kay mardon kay jinsi mughaliton ka zikar lya jaey (in mughaliton ka tafseeli zikar humari doosri kitab "Sex Education…Sab Kay Liye" mein mojood hai iss hawaley sey iss kitab ka muta'alla mufeed rahey ga).

 

 KHAWATEEN K KUCH EHEM JINSI MUGHALTAY


1. MAHWAARI (MENSES):

Ye haez (menses) amooman takleef deh cheez nahin aksar khawateen ki maahwaari bilkul normal hoti hai aur unhein koi khaas takleef nahin hoti albatta kuch khawateen maahwaari kay dauraan kamar dard, sar dard aur paet dard waghaera mehsoos karti hain, maahwaari ka aana kisi bhi larki kay liye kisi bhi tarah tashweesh ka baa'iss nahin hona chahiyie, larki ko ba'khoobi samajh lena chahiyie kay yeh ek fitri jismaani amal hai.
NOTE: Mahwaari bund honay per aurat ki jinsi khwahish khatam nahin ho jati bul kay aurat aakhri saans tak sex sey lutf andoz ho sakti hai.

 

 2. MUBASHRAT (INTERCOURSE):
Koi buri cheez nahin aur na hi yeh ek takleef deh amar hai agarcha ba'az khawateen ko ibtida mein chund baar mubashrat mein qadrey takleef hoti hai taa'hum baad mein yeh amal normal ho jata hai mubashrat ka amal na sirf naeki aur sadqa hai bul kay donon kay liye bohut hi pur lutf amal hai.
NOTE: Mubashrat mein aurat ka har baar Orgasm (intiha e lazzat) hasil karma zaroori nahin bohut si aurtein har baar orgasm hasil nahin kartiin magar unki azdwajii zindagi bohut khushgawar hoti hai. Jinsi lutf aur bachay ki paedaesh kay liye mubashrat mein donon mian biwi ka ba'yak waqt orgasm hasil karna zaroori nahin.


 3. KASRAT-E-MUBASHRAT (FREQUENT INTERCOURSE):

Kasrat-e-mubashrat  aurat ki sehat kay liye nuqsan deh nahin chahey yeh kitni hi baar kyun na ki jaey, orgasm aurat ki sehat kay liye mufeed hai.

 4. LEUCORRHEA:

koi beemari nahin aur na hi iss ka ilaaj karane ki zaroorat hai albatta agar pani ka ikhraaj bohut zyada hoga, gaarha ya badboodaar ho to yeh amooman faraj (vagina) ki infection ki wajah sey hota hai.
 

Jan 1, 2011

Sex Limite

BURHAPA AND SEX

Agar ek mard jismani aur zehni lehaz sey sehatmand hai to woh martey dam tak jinsi amal kay qabil hota hai. Ek research kay mutabiq 37% burhapey 60year ki umar kay baad week mein 1 time zaroor sex sey lutf andoz hotey hain. Burhapey kay jinsi amal mein inzal zaroori nahi hota. Master And Johnson kay mutabiq 60 sey 70 year kay logon mein 25 sey 30% boorhey haftey mein 1 baar zaroor mubaashirat (intercourse) kartey hain. Ek survey kay mutabiq 50 sey 80 year ki umar mein aksar khawateen aur taqreeban sarey mard sex mein dilschaspi rakhtey hain. Ek research mein sehatmand boorhey jin ki umar 80 aur 102 year kay darmiyan thi, jinsi zindagi ka jaeysza liye gaya to maloom hua kay inn mein 30% aurtein aur 62 % mard ab bhi mubaashirat (intercourse) kartey hain. Albatta baaz bemariyan maslan joron kay dard, doosrey daemi dard, sugar, dil kay amraaz, peeshab per control ki kami aur heart attack etc sex sey lutfandoz honay mein kuch rukawat sabit hoti hain.

 Bar bar kay survy sey yeh baat sabit ho chuki hai kay burhapey mein log sex ko hamesha sey zyada enjoy kartey hain. Kyun kay in ko inzal per zyada control hota hai.  Badqismati sey humarey yahan burhapey ki jinsi sargarmiyon kay hawaley sey logon ki raey bilkul manfi hai. 70 year old mian biwi ki jinsi sargarmiyun ko bohut ghaer shaista samjha jata hai aur iss umar mein mushtzani ko to bohut hi bura samjha jata hai. Bohut sey 70 year kay afraad biwi kay adam taa'wwun ki wajah sey mushtzani per majboor hain. Aam logon ka khayal hai kay burhapey mein fard jinsi amal kay qabil hi nahi rehta. Aksar boorhey iss ghalat khayal ki wajah sey apni jinsi sargarmiyun ko rok deytey hain, jis ki wajah sey woh kuch arsa baad jinsi amal kay qabil hi nahi rehtey kyun kay jis cheez ko use naa kiya jaey (jismani aaza etc) to kuch arsa baad woh use kay qabil nahi rehti. Use it or lose it. Jab kay haqeeqat yeh hai ka boorhey logon ko bhi jawanon ki tarhan sex ki zaroorat hai. Aurat ki sehat kay liye orgasm ek mufeed cheez hai. Agar mian biwi sehat mand hun to woh martey dam tak jinsi amal kay qabil hotey hain. Burhapey mein majmoee tor per fard ki jismani karkardigi mein kami waqai ho jati hai. Burhapey mein woh tez nahi bhag sakta bul kay ahista chalta hai. Zyada wazan nahi utha sakta.

 

 TANAO KA MASLA (ERECTILE DIS-FUNCTION):

Isi tarhan iss ki jinsi sargarmiyun mein bhi kami waqai ho jati hai. 80 year kay baad buniyadi jinsi hormone testosterone (jis ka ta'alluq tanau (erection) aur jinsi khwahish kay sath hota hai) ki paedawar mein 20 saal ki umar ki nisbat 66% tak kami waqai ho jati hai. Jis ki wajah sey fard ki jinsi khwahish mein kuch kami ho jati hai. Iss kay elawa tanau (erection) bhi jawani ki tarhan sakht nahi hoti magar dakhool kay qabil hoti hai. Fard ko tanau (erection) hasil karney mein bhi zyada waqt lagta hai. Jawani mein mard foran tanau (erection) hasil kar leta hai. Darmiyani umar mein kuch minute mein tanau (erection) hasil ho jata hai jab kay burhapey mein zyada der lagti hai. Baaz auqat to biwi ko hath sey zakar ko mushta'el karna parta hai. Chunancha burhapey mein mard ko bhi taweel foreplay ki zaroorat hoti hai aur inzal kay baad sara tanau foran khatam ho jata hai. Dubara tanau hasil karney mein zyada waqt ki zaroorat hoti hai. Burhapey mein mani (semen) ki miqdar kam ho jati hai aur iss ka ikhraj bhi zyada force sey nahi hota. Yani mani (semen) kam tezi sey nikalti hai. Mani (semen) ka rung white kay bajaey kuch yellow sa ho jata hai aur ya nisbatan patli hoti hai yeh sab kuch normal hai. Burhapey mein bohut sey mardon ko (Erection problems) tanau ka masla hota hai. Iss ki wajah burhapa nahi bul kay koi beemari hoti hai, maslan dil ki beemari, blood pressure ki beemari, sugar ki beemari, prostrate allergy, Depression aur ulcer ki adviyat. Iss kay elawa sukoon aawar aur bhook ko khatam karney wali adviyat, cigarette noshi aur sharab noshi bhi ahem wajah hai. Erection problems ko hal karney kay liye Eric Aid system ko use kya ja sakta hai. Viagra sey bhi madad li ja sakti hai. Magar dil kay amraz waley afraad kay liye Viagra mohlik hoti hai. Bohut sey mard iss tarhan bhi munasib tanau (erection) hasil kar letey hain kay woh kam erect zakar ko chiknaa kar kay faraj mein dal detey hain phir achanak strokes laganay sey inn ko maqool tanau (erection) hasil ho jata hai umar kay zyada honay kay sath baaz afraad kay zakar ki lachak mein kami aa jati hai jis ki wajah sey zakar poori tarhan nahi phaelta aur lambaee aur choraee mein chota ho jata hai. Yeh tabdeeli bhi erection problems (tanau ka masla) paeda kar deti hai. Tahem sex sey lutf andoz honay kay liye mubashrat (intercourse) zaroori hai aur na hi inzal. Iss sorat mein foreplay sey lutf uthaya ja sakta hai. Ek doosrey kay jinsi aaza ko mushtael kar kay bhi sathi ko jinsi sukoon frahem kya ja sakta hai. Mahireen kay mutabiq achi jismani aur zehni sehat kay liye regular sex bohut mufeed hai. Master And Johnson ney iss baat per zor diya hai kay burhapey mein achi jismani aur zehni sehat kay liye jinsi sargarmiyan zaroori hain.

 

PROSTATE KA KHATRA (PROSTATE IN MAN):
Burhapey mein prostate problem ka masla aam hai. 50 saak ki umar kay baad 33% mardon ka prostate barh jata hai ya cancer ho jata hai. Burhapey mein baqaida jinsi sargarmiyun ki wajah sey mardon mein prostate aur hernia kay masael bohut kam ho jatey hain. Burhapey mein prostate ka barhna aur prostate ka cancer bohut aam hai. Elaj kay liye inka operation karna parta hai jis ki wajah sey amooman mard ki jinsi zindagi khatam ho jati hai. 60 saal ki umar kay baad jinsi amal ko zyada purlutf bananey kia liye zaroori hai kay foreplay taweel ho. Mubaashirat (intercourse) raat kay bajaey subha ki jaey jab fard ko fitri tor per zyada tanau (erection) hota hai. Subha kay waqt fard zyada fresh aur zyada energy mehsoos karta hai. Burhapey mein sex sey bharpoor lutf uthaney kay liye aap ki jismani sehat achi ho. Iss kay liye mutawazin khoorak use karein. Vitamin C aur E ka khusoosi istaemaal karein. Juices aur pani zyada piya karein, sharab aur cigarette noshi bilkul tark kar dein. Zindagi sey stress ko khatam ya kam karein aur halki phulki exercise ka ahtimam karein. Apney doctor sey baqaidigi sey miltey rahein.

Share this post: