BURHAPA AND SEX
Agar
ek mard jismani aur zehni lehaz sey sehatmand hai to woh martey dam
tak jinsi amal kay qabil hota hai. Ek research kay mutabiq 37% burhapey
60year ki umar kay baad week mein 1 time zaroor sex sey lutf andoz hotey
hain. Burhapey kay jinsi amal mein inzal zaroori nahi hota. Master And
Johnson kay mutabiq 60 sey 70 year kay logon mein 25 sey 30% boorhey
haftey mein 1 baar zaroor mubaashirat (intercourse) kartey hain. Ek
survey kay mutabiq 50 sey 80 year ki umar mein aksar khawateen aur
taqreeban sarey mard sex mein dilschaspi rakhtey hain. Ek research mein
sehatmand boorhey jin ki umar 80 aur 102 year kay darmiyan thi, jinsi
zindagi ka jaeysza liye gaya to maloom hua kay inn mein 30% aurtein aur
62 % mard ab bhi mubaashirat (intercourse) kartey hain. Albatta baaz
bemariyan maslan joron kay dard, doosrey daemi dard, sugar, dil kay
amraaz, peeshab per control ki kami aur heart attack etc sex sey
lutfandoz honay mein kuch rukawat sabit hoti hain.
Bar
bar kay survy sey yeh baat sabit ho chuki hai kay burhapey mein log sex
ko hamesha sey zyada enjoy kartey hain. Kyun kay in ko inzal per zyada
control hota hai. Badqismati sey humarey yahan burhapey ki jinsi
sargarmiyon kay hawaley sey logon ki raey bilkul manfi hai. 70 year old
mian biwi ki jinsi sargarmiyun ko bohut ghaer shaista samjha jata hai
aur iss umar mein mushtzani ko to bohut hi bura samjha jata hai. Bohut
sey 70 year kay afraad biwi kay adam taa'wwun ki wajah sey mushtzani per
majboor hain. Aam logon ka khayal hai kay burhapey mein fard jinsi amal
kay qabil hi nahi rehta. Aksar boorhey iss ghalat khayal ki wajah sey
apni jinsi sargarmiyun ko rok deytey hain, jis ki wajah sey woh kuch
arsa baad jinsi amal kay qabil hi nahi rehtey kyun kay jis cheez ko use
naa kiya jaey (jismani aaza etc) to kuch arsa baad woh use kay qabil
nahi rehti. Use it or lose it. Jab kay haqeeqat yeh hai ka boorhey logon
ko bhi jawanon ki tarhan sex ki zaroorat hai. Aurat ki sehat kay liye
orgasm ek mufeed cheez hai. Agar mian biwi sehat mand hun to woh martey
dam tak jinsi amal kay qabil hotey hain. Burhapey mein majmoee tor per
fard ki jismani karkardigi mein kami waqai ho jati hai. Burhapey mein
woh tez nahi bhag sakta bul kay ahista chalta hai. Zyada wazan nahi utha sakta.
TANAO KA MASLA (ERECTILE DIS-FUNCTION):
Isi
tarhan iss ki jinsi sargarmiyun mein bhi kami waqai ho jati hai. 80
year kay baad buniyadi jinsi hormone testosterone (jis ka ta'alluq tanau
(erection) aur jinsi khwahish kay sath hota hai) ki paedawar mein 20
saal ki umar ki nisbat 66% tak kami waqai ho jati hai. Jis ki wajah sey
fard ki jinsi khwahish mein kuch kami ho jati hai. Iss kay elawa tanau
(erection) bhi jawani ki tarhan sakht nahi hoti magar dakhool kay qabil
hoti hai. Fard ko tanau (erection) hasil karney mein bhi zyada waqt
lagta hai. Jawani mein mard foran tanau (erection) hasil kar leta hai.
Darmiyani umar mein kuch minute mein tanau (erection) hasil ho jata hai
jab kay burhapey mein zyada der lagti hai. Baaz auqat to biwi ko hath
sey zakar ko mushta'el karna parta hai. Chunancha burhapey mein mard ko
bhi taweel foreplay ki zaroorat hoti hai aur inzal kay baad sara tanau
foran khatam ho jata hai. Dubara tanau hasil karney mein zyada waqt ki
zaroorat hoti hai. Burhapey mein mani (semen) ki miqdar kam ho jati hai
aur iss ka ikhraj bhi zyada force sey nahi hota. Yani mani (semen) kam
tezi sey nikalti hai. Mani (semen) ka rung white kay bajaey kuch yellow
sa ho jata hai aur ya nisbatan patli hoti hai yeh sab kuch normal hai.
Burhapey mein bohut sey mardon ko (Erection problems) tanau ka masla
hota hai. Iss ki wajah burhapa nahi bul kay koi beemari hoti hai, maslan
dil ki beemari, blood pressure ki beemari, sugar ki beemari, prostrate
allergy, Depression aur ulcer ki adviyat. Iss kay elawa sukoon aawar aur
bhook ko khatam karney wali adviyat, cigarette noshi aur sharab noshi
bhi ahem wajah hai. Erection problems ko hal karney kay liye Eric Aid
system ko use kya ja sakta hai. Viagra sey bhi madad li ja sakti hai.
Magar dil kay amraz waley afraad kay liye Viagra mohlik hoti hai. Bohut
sey mard iss tarhan bhi munasib tanau (erection) hasil kar letey hain
kay woh kam erect zakar ko chiknaa kar kay faraj mein dal detey hain
phir achanak strokes laganay sey inn ko maqool tanau (erection) hasil ho
jata hai umar kay zyada honay kay sath baaz afraad kay zakar ki lachak
mein kami aa jati hai jis ki wajah sey zakar poori tarhan nahi phaelta
aur lambaee aur choraee mein chota ho jata hai. Yeh tabdeeli bhi
erection problems (tanau ka masla) paeda kar deti hai. Tahem sex sey
lutf andoz honay kay liye mubashrat (intercourse) zaroori hai aur na hi
inzal. Iss sorat mein foreplay sey lutf uthaya ja sakta hai. Ek
doosrey kay jinsi aaza ko mushtael kar kay bhi sathi ko jinsi sukoon
frahem kya ja sakta hai. Mahireen kay mutabiq achi jismani aur zehni
sehat kay liye regular sex bohut mufeed hai. Master And Johnson ney iss
baat per zor diya hai kay burhapey mein achi jismani aur zehni sehat kay
liye jinsi sargarmiyan zaroori hain.
PROSTATE KA KHATRA (PROSTATE IN MAN):
Burhapey
mein prostate problem ka masla aam hai. 50 saak ki umar kay baad 33%
mardon ka prostate barh jata hai ya cancer ho jata hai. Burhapey mein
baqaida jinsi sargarmiyun ki wajah sey mardon mein prostate aur hernia
kay masael bohut kam ho jatey hain. Burhapey mein prostate ka barhna aur
prostate ka cancer bohut aam hai. Elaj kay liye inka operation karna
parta hai jis ki wajah sey amooman mard ki jinsi zindagi khatam ho jati
hai. 60 saal ki umar kay baad jinsi amal ko zyada purlutf bananey kia
liye zaroori hai kay foreplay taweel ho. Mubaashirat (intercourse) raat
kay bajaey subha ki jaey jab fard ko fitri tor per zyada tanau
(erection) hota hai. Subha kay waqt fard zyada fresh aur zyada energy
mehsoos karta hai. Burhapey mein sex sey bharpoor lutf uthaney kay liye
aap ki jismani sehat achi ho. Iss kay liye mutawazin khoorak use karein.
Vitamin C aur E ka khusoosi istaemaal karein. Juices aur pani zyada
piya karein, sharab aur cigarette noshi bilkul tark kar dein. Zindagi
sey stress ko khatam ya kam karein aur halki phulki exercise ka ahtimam
karein. Apney doctor sey baqaidigi sey miltey rahein.
0 comments:
Post a Comment