PRAGNANCY AND INTERCOURSE (HAMAL OR MUBASHRAT)
Hamal
ka arsa 9 maah per mushtamil hota hai itna arsa amooman kisi bhi mard
kay liye jinsi amal sey perhaez karna bohut mushkil hai, khwateen mein
bhi jinsi khwahish maand nahin parti bul kay 80% khwateen ki jinsi
khwahish mein hamal ki doosri seh maahi (4 ta 6 maah) mein izaafa hojata
hai. Agarcha aakhri 3 maah mein aksar khwateen ki jinsi khwahish aur
dilchaspi kam ho jati hai. Master & Johnson ki research kay mutabiq
ek sehat mand haamla aurat kay sath bachey ki paedae'sh sey 4 haftey
qabal tak mehfooz tor per mubashrat ki ja sakti hai.
HAMAL K AKHRI MAHINAY
Ba'az
afraad to aakhri din tak bhi mubashrat jari rakhtey hain Master &
Johnson kay mutabiq bachey ki paedae'sh kay 3 haftey ba'ad aurat
sehatyaab ho jati hai aur uss sey mubashrat ki jasakti hai iss doran
uski jinsi khwahish wapis aa jati hai. Woh khawateen jo miscarriage ya
abortion ka tajurba kar chuki hain unn kay liye yeh behter hai kay woh
hamal kay poorey arsey mein khusoosan pehley chund hafton aur aakhri
hafton mein mubashrat aur doosri jinsi sargarmi jis kay nateejey mein
aurat orgasm hasil karey, bachna chahiyie kyun kay orgasm ki hamil jinsi
sargarmi sey miscarriage ka khatra barh jata hai. Iss tarah kuch
doosrey maahireen kay mutabiq hamal kay aakhri 6 hafton mein behter yehi
hai kay mubashrat na ki jaey aakhri hafton mein mubashrat ki wajah sey
labor pains (labor ka dard) pehley shuru ho sakta hai iss tarah bacha
waqt sey pehley paeda ho jata hai. Hamal kay 6 maah pehley tak to aam
haalaat ki tarah mubashrat ki jasakti hai aur itni hi baar ki ja sakti
hai jitni bar pehley hoti rahi hai albatta aakhri maah perhaez karna
behter hai iss doran biwi khawand ko mutabadil jinsi tariqon (sexual
satisfaction alternatives) sey jinsi sukoon muhayya kar sakti hai.
Hamal
kay doran khusoosan aakhri mahinon mein mubashrat ka missionary tariqa
yani aurat neechey waley tariqey ko bilkul tark kardiya jaey albatta
ibteda'ee dinon mein ek do maah yeh tariqa istaemaal kya ja sakta hai.
Hamal kay doran mubashrat ki sab sey behter position pehlu ba pehlu
(side by side) hai iss kay elawa aagey peechey wala tariqa (rear entry)
bhi ikhtiyar kya ja sakta hai. Hamal kay aakhri chund hafton kay doran
missionary tariqa ikhtiyar karney sey jhilli qabal az waqt phatt jati
hai aur bachey ki paeda'esh qabal az waqt ho jati hai. Delivery kay
ba'ad aurat kay jinsi radd e amal mein 50 % kam aa jati hai magar 3
hafton kay ba'ad uski jinsi khwahish wapis aa jati hai aur woh normal ho
jati hai jaisa kay pehley bataya ja chuka hai Master & Johnson kay
mutabiq delivery kay 3 hafton kay ba'ad mubashrat ki ja sakti hai lekin
agar aurat ko khoon aa raha ho ya operation hua ho to khoon kay bund
honay aur zakhm kay mundamil honay ka intezar karna chahiyie.
0 comments:
Post a Comment