Istaqrar hamal hone per aurat mein mandarjah zeel tabdeelyan ya alaamat zahir hoti hain.
1- Haiz Ka Rukjana
istaqraar hamal kay waqt aurat ko haiz yani mahwari aana band ho jati hai yeh barhi alaamat hai, baaz auraton ko pehlay teen mah mein thorha buhat aata hai, aur baaz ko sirf aik mah band honay kay baad phir shoro ho jata hai, lekin yeh haqiqat hai keh aik dafa haiz band zaroor hota hai.
2-Matli Aur Qai Aana
Hamal thahernay kay teen chaar haftay baad hamlah aurat ki tabiyat mein susti aajati hai, gi matlane lagta hai, subha kay waqt khansi aati hai, aur qai bhi aanay lagti hai, yeh halat 14-15 haftay rahti hai. Lekin baaz auraton ko bachah jantay tak yahi halat rahti hai.
3-Pastanon Ki Tabdeli
Istaqrar hamal kay baad hamla ki pastanon mein numaya tabdili aati hai.
Chati barhnay lag jati hai. Pastaanon kay ird gird kalay rung kay dairay ban jatay hain pastanon mein doodh aanay lagta hai yeh khaas alaamat hai keh aurat hamlah hai. Hamla kay cheray per siyahyan phail jati hain.
4-Andaam Nehani Ki Halat
Andaam nehani se sufaid rung ki ratoobat nikalnay lagti hai. Raham ki jisamat pahlay say barhi ho jaati hai istaqrar hamal say pahlay is ka size
2 ½ inch hota hai aur wazan ½ pao ho jata hai. Raham barhtay barhtay aathwain mahinay mien naaf say oper aajata hai. Naween mahinay mien shikam tak aajata hai.
5- Shikam Ki Halat
Istaqrar hamal kay chatay mahinay mein shikam ki deewar oper ko uthti hai. Is mein tanaao aajata hai. Shikam ki deewar per zardi maa'l lakeerain numayan hoti hain.
6- Jinion Ki Harkat
Bachay ki paidaaish jinion kay barhnay say hoti hai, yeh hamlah kay pait mien parwarish patay hain jinion 16-20 hafton mien harkat kanay lagta hai is ki harkat maa'n kay pait per haath say mahsoos ki jasakti hai.
7- Thook Aur Peeshab
Hamlah kay monh say bar bar thook aata hai munh pani say bhar jata hai, is kay sath sath isay peeshab kasrat say aur bar bar aanay lagta hai, hamla ki tabiyat bhojhal si mahsoos hoti hai, isay thakan aur thakawat rahnay lagti hai.
Ectopic Pregnancy
Is halut mien bacha uterus ki cavity ki bajaye kisi aur jagah ya ovary mein growth karta hai. Jabkeh normal halut mein aurat ka fertilize andaa uterus ki cavity mein moqeem hota hai. Aksar mushahida kia gia hai keh taqreeban 89% is tarah ke cancer mein fertilized andaa felopin tube ki andarooni satha per moqeem ho kar barhta hai aurat ke liye ye buhat pacheedgian paida karta hai.
Causes (Asbaab)
Is coundition ki wajah aurat ko pahlay pelvic diseases ho sakti hai pait main appendix ke phatne ki wajah ho sakti hai tissues mein infection ho sakti hai.
Clinical Features (Ilamaat)
Aurat ko ghair normal bleeding shoro ho jati hai pait ke nichle hissey per aik lumps ban jata hai aur dard hota hai agar ectopic pregnancy Fallopian tubes kay andar ho to fallopian tubes phat jati hai. Aur mareeza kay pait mein shaded dard hota hai blood pressure gir jata hai aur mareeza ki halat serious hojati hai.
Laboratory Test
HCG hormones ki level kam hogi.
Ultrasound se pata chal sakay ga keh utérus ki cavity khali hogi.
Pelvice ki laparoscopy ki jaye agar is kay andar bleeding ho to vagina kay culdesac mein seringe kay zareeye khoon ko aspirate kia jaye. Jo peri tonium mien bleeding ko zahir karta hai is se ectopic pregnancy ki tashkhees ho jaye gi.
Treatment Ilaaj
Mareeza ko foran hospital dakhil karwaya jaye. Laparoscope kay zareeye Fallopian mien se tissues ko nikal dia jaye. Agar fallopian tube phat chuki ho to ise mukammal tor par nikal dein.
Mareeza ko anti biotics dein khoon ki kami poori karne ke liye blood transfusion ka intezam karein. Agar pait ki cavity mein bleeding ho to condition intehai serious hai. Mareeza ki intehai nighadasht ki jaye
Puerperal infection | Zachgi kay baad bukhar
Zachgi kay baad aura ton ko bukhar aur preshani aam hai. In ki teen hisson main taqseem karsakte hain.
1. maternity Blues
2. Post Partum Psychosis
3. Post Natal Depressive illness
1. Zachgi kay do teen baad aura ton mien jazbaati napaa'edari, kharash pazeeri aur anso'on ki takleef ho jati hai ye taqreeban 50% aura ton mien hoti hai. Ye chand dinon mein theek ho jati hai.
2- post partum psychosis 500-1000 mein se sirf aik baar hoti hai. Yeh delivery kay do din baad shoro hoti hai aura ton mien preshani paida hoti hai aura ton mien yeh shubhaat paida hote hain keh bache ki shakal kharab hai yeh koi beemari hai ya koi hawai asar hai. Janoon paida hone se ise khialat ubharte hain keh ya khood kashi karlain ya bache ko qatal kardain.
Zachgi kay aik saal kay doran taqreeban 10 % maao'n ko yeh dabao hota hai keh is kay sosraal walon ka kia salook hoga khawand ka rawayah kaisa hoga yeh soch kar in ko bukhar sa rahta hai.
In halat kay ilawa delivery kay baad andarooni infection ki wajah se aura ton ko bukhar hojata hai. Yeh bukhar 100 F se ziada hota hai yeh bukhar mandarjah zeel jarasim ki wajah se hota hai.
Strepetocus, E coli, enterococcus, peptostreptococcus waghairah.
Delivery se pehlay pani ki jhillia'n phat janay se jarasim vagina se oper uterus mien dakhil ho jate hain delivery kay doran zakhum aanay se infection ho jati hai aur bukhar charh jata hai agar infection khoon mien dakhil ho jaye to sakht bukhar hota hai pelvic ki wareedo'n mien zakham aane se bukhar laga tar charta hai aur bawajood anti biotique kay istemal kay kay istemaal kay taiz ho jata hai.
Laboratory Test
Mareezah kay khoon, peeshab, balghum ka test kia jaye chaati ka x-ray lia jaye servex aur utérusse troobatain lay kar in ka culture kia jaye in testo'n se jarasim aur infection ka pat achale ga.
Treatment | Ilaaj
Mareeza ko agar bukhar depression ki wajah se hai to ise anti depression dain Citalopram, Fluozetin, Clomipramox mareezah ko dain. Khorak ki moqdaar 20-60 mg hai.
Ampicillin Injection 1gm bazarya wareed har 6 ghante baad lagain. (Delacin C Inj) 600-900 mg bazaria wareed har 8 ghante baad lagain.
Mareezah ki zahni pareshani dard karne kay liye ise tasali dain keh Allah ne kina khoobsurat bachah dia hai. Is se sosraal wale, waldain aur khawand sabhi behad khosh hain.
Dermatoses of pregnancy
Hamal kay doran jild mien choti choti tabdeelyan aati hain yeh char tarah ki hain.
1- hamal kay doran mukhtalif dhabay parna
2- Polymorphic Eruption of pregnancy
Is tarah se surkh dhabbe pahli pregnancy kay aakhri semester mien nikalte hain yeh chobhne wale aable hotay hain. Aur ghalban choti phunsian hoti hain. Yeh amooman pait se shoro hote hain aur phir baazo'n aur raanon tak phail jatay hain naaf per nahi hote.
Treatment
Is condition ka ilaaj bland emollients aur lateef strides se kia jata hai. Bache ki paidaish kay baad garmi danay gaib ho jate hain.
0 comments:
Post a Comment