Jan 6, 2011

Male Weakness

MARDANA KAMZORI



Mardon ka ahem tareen masla Erectile Dysfunction (mardana kamzori) hai. Erectile dysfunction ko aam tor sey male impotence kaha jata hai.Iss mein ba'az auqaat to mard ko tana'u hota hi nahin ba'az afraad ko tana'u to hota hai magar dakhool kay waqt ek dum khatam ho jata hai aur kuch afraad ka tana'u dakhool kay ba'ad khatam ho jata hai jis ki wajah sey woh mubashrat ko jari nahin rakh sakta. Agar yeh masla kuch arsa jari rahey to ba'az intehaee surton mein naujawan pagal ho jatey hain aur ba'az khudkushi tak kar letey hain iss surat mein shaadi ka qayem rehna na mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Merey paas kaee aisey cases aaey jahan iss wajah sey alaehdgi ho gaee sharmindagi ki wajah sey yeh log jald elaj kay liye nahin aatey, amooman yeh log surat e haal kafi bigarrney kay ba'ad aatey hain. Jab fard ko kisi bhi waqt tanau hota ho to iss ka masla jismani nahin bul kay nafsiyati hota hai yeh masla jawani mein taqreeban 100% nafsiyati hota hai aksar wajah naakami ka khauf aur khud lazzati kay hawaley sey kamzori ka khauf aur wahem hota hai albatta 40 saal ki umar kay baad bohut sey logon kay masley ki wajah jismani ho sakti hai. Yeh beemari ya kisi beemari ki adviyat kay side effects hotey hain.
Biwi agar chahey to woh apney mian ki madad kar kay uss ki izzat, jaan aur apni shaadi ko bacha sakti hai aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai iss kay liye sab sey pehley biwi ko khud mardana kamzori ka elaj karney ki koshish karni chahiyie. Iss silsiley mein bunyaadi baat yeh hai kay agar biwi ko aisi surat e haal ka saamna ho to woh kabhi ghussey, pareshani aur afsos ka izhaar na karey, mian per tunz na karey bul kay uski hosla afzaee karey usey bataey kay woh bilkul normal hai aaj nahin to kal woh kamyaab ho jaey ga iss silsiley mein pareshan honay ki zaroorat nahin iss kaam kay liye saari umar parri hai.

0 comments:

Post a Comment

Share this post: