KHAWATEEN K JINSI MUGHALTAY
Mardon
ki tarah aurtein bhi bohut sey jinsi maghaliton (sexual misconceptions)
ka shikar hain jo inki azdwajii khushyion mein bohut bari rukawat sabit
hote hain. Azdwajii khushyion kay liye khawateen ko na sirf apney bul
kay mardon kay jinsi mughaliton ka zikar lya jaey (in mughaliton ka
tafseeli zikar humari doosri kitab "Sex Education…Sab Kay Liye" mein
mojood hai iss hawaley sey iss kitab ka muta'alla mufeed rahey ga).
KHAWATEEN K KUCH EHEM JINSI MUGHALTAY
1. MAHWAARI (MENSES):
Ye
haez (menses) amooman takleef deh cheez nahin aksar khawateen ki
maahwaari bilkul normal hoti hai aur unhein koi khaas takleef nahin hoti
albatta kuch khawateen maahwaari kay dauraan kamar dard, sar dard aur
paet dard waghaera mehsoos karti hain, maahwaari ka aana kisi bhi larki
kay liye kisi bhi tarah tashweesh ka baa'iss nahin hona chahiyie, larki
ko ba'khoobi samajh lena chahiyie kay yeh ek fitri jismaani amal hai.
NOTE:
Mahwaari bund honay per aurat ki jinsi khwahish khatam nahin ho jati
bul kay aurat aakhri saans tak sex sey lutf andoz ho sakti hai.
2. MUBASHRAT (INTERCOURSE):
Koi
buri cheez nahin aur na hi yeh ek takleef deh amar hai agarcha ba'az
khawateen ko ibtida mein chund baar mubashrat mein qadrey takleef hoti
hai taa'hum baad mein yeh amal normal ho jata hai mubashrat ka amal na
sirf naeki aur sadqa hai bul kay donon kay liye bohut hi pur lutf amal
hai.
NOTE:
Mubashrat mein aurat ka har baar Orgasm (intiha e lazzat) hasil karma
zaroori nahin bohut si aurtein har baar orgasm hasil nahin kartiin magar
unki azdwajii zindagi bohut khushgawar hoti hai. Jinsi lutf aur bachay
ki paedaesh kay liye mubashrat mein donon mian biwi ka ba'yak waqt
orgasm hasil karna zaroori nahin.
3. KASRAT-E-MUBASHRAT (FREQUENT INTERCOURSE):
Kasrat-e-mubashrat
aurat ki sehat kay liye nuqsan deh nahin chahey yeh kitni hi baar kyun
na ki jaey, orgasm aurat ki sehat kay liye mufeed hai.
4. LEUCORRHEA:
koi
beemari nahin aur na hi iss ka ilaaj karane ki zaroorat hai albatta
agar pani ka ikhraaj bohut zyada hoga, gaarha ya badboodaar ho to yeh
amooman faraj (vagina) ki infection ki wajah sey hota hai.
0 comments:
Post a Comment