PAINLESS DELIVERY
DARD K BAGHAIR DELIVERY
Shaadi
kay ba'ad aurat ki sab sey bari khwahish yeh hoti hai kay woh jald
maa'n baney ek taraf usey bachey ki shadeed khwahish hoti hai doosri
taraf paeda'esh kay amal ka shadeed khauf. Agarcha amooman labor ka dard
bohut takleef deh nahin hota magar iss dard ka khauf la'shaoori tor per
nasal dar nasal muntaqil hota aa raha hai iss khauf ki wajah sey kuch
khawateen haamla nahin hotiin aur bohut si haamla 9 mahiney isi khauf ka
shikaar rehti hain jis ki wajah sey woh depression aur tashweesh mein
mubtala ho jati hain. Inn mein sey bohut si khawateen ka blood pressure
buland ho jata hai jis ki wajah sey hamal aur zichgi mein paecheedgiyan
paeda ho jati hain hamal kay doran mein maa'n ki zehni kaifiyat bachey
kay zehen aur nafsiyat ko bohut muta'assir karti hai. Isi liye kaha jata
hai kay hamal kay doran main maa'n ko har fikr sey azaad ho kar
hashaash bashaash aur khush o khurram rehna chahiyie lekin woh bohut si
maa'ein jo hamal kay doran mein khauf ka shikar rehti hain unki yeh
zehni kaifiyat unn kay bachon ki shakhsiyat ki normal nashaunuma mein
bohut bari rukawat hoti hai jis ki wajah sey yeh bachey barey ho kar
bohut sey nafsiyati masail ka shikar ho jatey hain. Taqreeban 50%
aurtein hamal kay foran ba'ad matli mehsoos karti hain, ba'az ko ultiyan
aaney lagti hain nateejatan unko hospital mein daakhil hona parta hai
teen mein sey do khawateen ko seeney mein jalan mehsoos hoti hai ba'az
khawateen ko qabz ki shikayat ho jati hai hamal kay doran bey khwabi ka
masla bhi aam hai bohut si khawateen jismaani thakawat aur tension
mehsoos karti hain inn tamam masail kay hal kay liye adviyat Khusoosan
sukoon aawar adviyat istemaal ki jati hain jin kay burey asraat bachon
tak pohonchtey hain.
Labor Pains - Labor Ka Dard
Labor
pains (labor ka dard) to taqreeban har aurat mehsoos karti hai koi kam
aur koi zyada yeh dard har aurat ko bardaasht karna hi parta hai iss
dard ko control karney kay liye amooman adviyat kay istaemaal sey guraez
kya jata hai kyun kay iss surat mein adviyat ka istaemal nuqsandeh ho
sakta hai. Isi tarah paeda'esh kay aakhri marhaley main maa'n ko bohut
takleef hoti hai iss aakhri dard ko control karney kay liye amooman bey
hiss karney wali adviyat istaemaal ki jati hain jo ba'az auqaat bohut
nuqsan deh sabit hoti hain aaj kal iss dard ko control karney kay liye
kamar mein teeka lagaya jata hai jis ka apna dard hai.
Hynotherapy Kay Fawa'ed
Hypnotherapy
ki madad sey 95% sey zyada khawateen apni tension, khauf aur khadshaat
ko control kar sakti hain iss ki madad sey khawateen apney aap ko
pursukoon aur relax karsakti hain jiski wajah sey blood pressure,
depression, tashweesh kay masail amooman paeda hi nahin hotey taa'hum
agar yeh masail paeda bhi ho jaein to hypnotherapy ki madad sey in ko
aasani sey control kya ja sakta hai. Matli, ultiya'n, seeney ki jalan
haamla khawateen kay ahem masail hain 75% khawateen hypnotherapy ki
madad sey inko aasaani sey control karsakti hain qabz aur bey khwabi kay
masail ko bhi aasani sey hal kya ja sakta hai iss tarah khawateen aur
unn kay bachey adviyat kay burey asraat sey mehfooz rehtey hain. Zichgi
ka ahem marhala labor pain ka hai jo ghanton jari rehta hai hypnotherapy
ki madad sey labor pain kay waqt mein 4 ghanty tak kami ki ja sakti hai
iss marhaley main haamla 'shakhsi hypnotism' ki madad sey apney dard ko
bohut kam kar leti hai. (mukammal khatam karna munasib nahin hota
agarcha dard ko mukammal khatam kya ja sakta hai) woh dard ki bajaey
ma'amooli daba'u mehsoos karti hai phir aakhri marhaley mein mareeza
khud hi apney jism kay paeda'esh sey muta'alliq hisson ko baghaer kisi
dawa kay sunn karleti hai jis ki wajah sey bacha baghaer kisi dard kay
paeda'esh ki naali sey baher aa jata hai. Bachey ki paeda'esh kay ba'ad
hypnotism ki wajah sey mareeza gehri aur pursukoon neend mein chali jati
hai aur baedaar honay per bohut khush o khurram, pursukoon aur relax
mehsoos karti hai woh kisi qism ki thakawat mehsoos nahin karti kyun kay
iss surat mein koi teeka ya dawa istaemaal nahin hoti le'haza mareeza
aur bacha dawa kay har qism kay muzir asraat sey mehfooz hotey hain. Iss
tariqey sey tamam khawateen mukammal tor per mustafeed nahin hotiin
ta'hum 70% khawateen dard ko mukammal tor per control karleti hain jab
kay 90% tension, khauf, seeney ki jalan aur neend kay masail ko control
kar leti hain. Hypnotherapy ka ek aur ahem faeda yeh bhi hai kay iss
ki madad sey mareeza hamal ka sara arsa bohut pursukoon aur relax rehti
hai jis ki wajah sey uss ki chaati mein doodh bhi khoob jama hota hai
chuna'cha bachey ko khoob paet bhar kar doodh milta hai yeh baat sabit
ho chuki hai kay khauf aur tension ki wajah sey na sirf maa'n ki chati
mein doodh kam paeda hota hai bul kay abortion ka khatra bhi barh jata
hai. Hypnotherapy ki wajah sey chu'nkay haamla majmooee tor per bohut
pursukoon hoti hai jis ki wajah sey na sirf abortion ka khatra kam ho
jata hai bul kay operation kay imkanaat bhi bohut kam ho jatey hain. Aur
agar operation ho bhi to hypnotism ki wajah sey zakham taezi sey
mundamil ho jatey hain hum Pakistan mein iss tariqey ko kamyaabi kay
sath istaemaal kar rahey hain behter yehi hai kay hamal kay ibteda'ee
dinon sey hi Iss tareeqey sey faeda uthaya jaey taa'hum iss tareeqey
sey kisi bhi waqt faeda uthaya ja sakta hai. Bachey ki paedaesh kay
ba'ad taqreeban 50 ta 80% khawateen depression ka shikar ho jati hain
jiss mein woh shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karti hain unki neend
kam ho jati hain bhook nahin lagti aur amooman jinsi khwahish kam ho
jati hai ba'az auqaat yeh depression kaee maah tak jari rehta hai, iss
silsiley mein kisi achey doctor sey raabta kya jaey.
Your design and pics of the blog is really nice. More over the content is also very productive.
ReplyDeleteFor more information :
best gynae centre
laproscopic gynae centre
painless delivery
gynecologist in tricity
gynecologist in panchkula
medical centre in tricity