Sex Education in urdu
Jan 9, 2011
Jan 8, 2011
Sign of Pregnancy
Istaqrar hamal hone per aurat mein mandarjah zeel tabdeelyan ya alaamat zahir hoti hain.
1- Haiz Ka Rukjana
istaqraar hamal kay waqt aurat ko haiz yani mahwari aana band ho jati hai yeh barhi alaamat hai, baaz auraton ko pehlay teen mah mein thorha buhat aata hai, aur baaz ko sirf aik mah band honay kay baad phir shoro ho jata hai, lekin yeh haqiqat hai keh aik dafa haiz band zaroor hota hai.
2-Matli Aur Qai Aana
Hamal thahernay kay teen chaar haftay baad hamlah aurat ki tabiyat mein susti aajati hai, gi matlane lagta hai, subha kay waqt khansi aati hai, aur qai bhi aanay lagti hai, yeh halat 14-15 haftay rahti hai. Lekin baaz auraton ko bachah jantay tak yahi halat rahti hai.
3-Pastanon Ki Tabdeli
Istaqrar hamal kay baad hamla ki pastanon mein numaya tabdili aati hai.
Chati barhnay lag jati hai. Pastaanon kay ird gird kalay rung kay dairay ban jatay hain pastanon mein doodh aanay lagta hai yeh khaas alaamat hai keh aurat hamlah hai. Hamla kay cheray per siyahyan phail jati hain.
4-Andaam Nehani Ki Halat
Andaam nehani se sufaid rung ki ratoobat nikalnay lagti hai. Raham ki jisamat pahlay say barhi ho jaati hai istaqrar hamal say pahlay is ka size
2 ½ inch hota hai aur wazan ½ pao ho jata hai. Raham barhtay barhtay aathwain mahinay mien naaf say oper aajata hai. Naween mahinay mien shikam tak aajata hai.
5- Shikam Ki Halat
Istaqrar hamal kay chatay mahinay mein shikam ki deewar oper ko uthti hai. Is mein tanaao aajata hai. Shikam ki deewar per zardi maa'l lakeerain numayan hoti hain.
6- Jinion Ki Harkat
Bachay ki paidaaish jinion kay barhnay say hoti hai, yeh hamlah kay pait mien parwarish patay hain jinion 16-20 hafton mien harkat kanay lagta hai is ki harkat maa'n kay pait per haath say mahsoos ki jasakti hai.
7- Thook Aur Peeshab
Hamlah kay monh say bar bar thook aata hai munh pani say bhar jata hai, is kay sath sath isay peeshab kasrat say aur bar bar aanay lagta hai, hamla ki tabiyat bhojhal si mahsoos hoti hai, isay thakan aur thakawat rahnay lagti hai.
Ectopic Pregnancy
Is halut mien bacha uterus ki cavity ki bajaye kisi aur jagah ya ovary mein growth karta hai. Jabkeh normal halut mein aurat ka fertilize andaa uterus ki cavity mein moqeem hota hai. Aksar mushahida kia gia hai keh taqreeban 89% is tarah ke cancer mein fertilized andaa felopin tube ki andarooni satha per moqeem ho kar barhta hai aurat ke liye ye buhat pacheedgian paida karta hai.
Causes (Asbaab)
Is coundition ki wajah aurat ko pahlay pelvic diseases ho sakti hai pait main appendix ke phatne ki wajah ho sakti hai tissues mein infection ho sakti hai.
Clinical Features (Ilamaat)
Aurat ko ghair normal bleeding shoro ho jati hai pait ke nichle hissey per aik lumps ban jata hai aur dard hota hai agar ectopic pregnancy Fallopian tubes kay andar ho to fallopian tubes phat jati hai. Aur mareeza kay pait mein shaded dard hota hai blood pressure gir jata hai aur mareeza ki halat serious hojati hai.
Laboratory Test
HCG hormones ki level kam hogi.
Ultrasound se pata chal sakay ga keh utérus ki cavity khali hogi.
Pelvice ki laparoscopy ki jaye agar is kay andar bleeding ho to vagina kay culdesac mein seringe kay zareeye khoon ko aspirate kia jaye. Jo peri tonium mien bleeding ko zahir karta hai is se ectopic pregnancy ki tashkhees ho jaye gi.
Treatment Ilaaj
Mareeza ko foran hospital dakhil karwaya jaye. Laparoscope kay zareeye Fallopian mien se tissues ko nikal dia jaye. Agar fallopian tube phat chuki ho to ise mukammal tor par nikal dein.
Mareeza ko anti biotics dein khoon ki kami poori karne ke liye blood transfusion ka intezam karein. Agar pait ki cavity mein bleeding ho to condition intehai serious hai. Mareeza ki intehai nighadasht ki jaye
Puerperal infection | Zachgi kay baad bukhar
Zachgi kay baad aura ton ko bukhar aur preshani aam hai. In ki teen hisson main taqseem karsakte hain.
1. maternity Blues
2. Post Partum Psychosis
3. Post Natal Depressive illness
1. Zachgi kay do teen baad aura ton mien jazbaati napaa'edari, kharash pazeeri aur anso'on ki takleef ho jati hai ye taqreeban 50% aura ton mien hoti hai. Ye chand dinon mein theek ho jati hai.
2- post partum psychosis 500-1000 mein se sirf aik baar hoti hai. Yeh delivery kay do din baad shoro hoti hai aura ton mien preshani paida hoti hai aura ton mien yeh shubhaat paida hote hain keh bache ki shakal kharab hai yeh koi beemari hai ya koi hawai asar hai. Janoon paida hone se ise khialat ubharte hain keh ya khood kashi karlain ya bache ko qatal kardain.
Zachgi kay aik saal kay doran taqreeban 10 % maao'n ko yeh dabao hota hai keh is kay sosraal walon ka kia salook hoga khawand ka rawayah kaisa hoga yeh soch kar in ko bukhar sa rahta hai.
In halat kay ilawa delivery kay baad andarooni infection ki wajah se aura ton ko bukhar hojata hai. Yeh bukhar 100 F se ziada hota hai yeh bukhar mandarjah zeel jarasim ki wajah se hota hai.
Strepetocus, E coli, enterococcus, peptostreptococcus waghairah.
Delivery se pehlay pani ki jhillia'n phat janay se jarasim vagina se oper uterus mien dakhil ho jate hain delivery kay doran zakhum aanay se infection ho jati hai aur bukhar charh jata hai agar infection khoon mien dakhil ho jaye to sakht bukhar hota hai pelvic ki wareedo'n mien zakham aane se bukhar laga tar charta hai aur bawajood anti biotique kay istemal kay kay istemaal kay taiz ho jata hai.
Laboratory Test
Mareezah kay khoon, peeshab, balghum ka test kia jaye chaati ka x-ray lia jaye servex aur utérusse troobatain lay kar in ka culture kia jaye in testo'n se jarasim aur infection ka pat achale ga.
Treatment | Ilaaj
Mareeza ko agar bukhar depression ki wajah se hai to ise anti depression dain Citalopram, Fluozetin, Clomipramox mareezah ko dain. Khorak ki moqdaar 20-60 mg hai.
Ampicillin Injection 1gm bazarya wareed har 6 ghante baad lagain. (Delacin C Inj) 600-900 mg bazaria wareed har 8 ghante baad lagain.
Mareezah ki zahni pareshani dard karne kay liye ise tasali dain keh Allah ne kina khoobsurat bachah dia hai. Is se sosraal wale, waldain aur khawand sabhi behad khosh hain.
Dermatoses of pregnancy
Hamal kay doran jild mien choti choti tabdeelyan aati hain yeh char tarah ki hain.
1- hamal kay doran mukhtalif dhabay parna
2- Polymorphic Eruption of pregnancy
Is tarah se surkh dhabbe pahli pregnancy kay aakhri semester mien nikalte hain yeh chobhne wale aable hotay hain. Aur ghalban choti phunsian hoti hain. Yeh amooman pait se shoro hote hain aur phir baazo'n aur raanon tak phail jatay hain naaf per nahi hote.
Treatment
Is condition ka ilaaj bland emollients aur lateef strides se kia jata hai. Bache ki paidaish kay baad garmi danay gaib ho jate hain.
Jan 7, 2011
Problems Of Men And Women In Urdu
1. Aurat Kay Akhrajat Ki Zimmedari Mard Par Hai
Sawal: Kiya islam Orton ko is bat ki ijazat daita hai kay wo daftaron mein mardon kay dosh badosh kam karain? Halankay islam kehta hai ka in ka isal ghar aur kam ghar mein hai jahan in ko reh kar zimmedariyan puri karni hain akhir yeh bat kahan tak durust hai?
Aljawab: Kama kar khilanay ki zimmedari islam nay mard par dali hai ortain is bojh ko uthar kar apnay liye khud hi mushkilat paida kar rahi hain. Islam mein kamaee kay liye bay pardah honey ki ijazat nahin hai.
2. Mard Aur Aurat Ki Haisiyat Mein Farq
Sawal: Kiya allah tala nay Aurat ko mard kay gham kam karnay kay liye paida kiya hai. jaisay mard hazrat ka dawa hai kayo rat ki koee haisiyat nahin isay allah tala nay mard kay liye paida kiya hai?
Aljawab: Allah tala nay nasal insani ki baqa kay liya insani jora banaya hai aur donon kay din mein aik dusray ka anas dala hai aur donon ko aik dusray ka mohtaj banaya hai. miyan biwi aik dusray kay behtarin monis-o-gham khowar bhi hain rafiq-o-ham safar bhi hain,baro madar gar bhi hai.
Aurat mazhar jamal hai aur mard mazhar jalal aur jamal aur jalal ka yeh amerza kainat ki bahar hai duniya mein musaraton kay phul bhi khilata hai aik dusray kay dukh dard bhi banata hai aur donon ko akhrat ki tayari mein madad bhi daita hai.
Fitrat nay aik kay nuqs ko dusray kay zariye pura kiya hai aik ko dusray ka moawin banaya hai Aurat kay baghair mard ki zat ki takmil nahin hoti aur mard kay baghair Aurat ka husn zindagi bhar nahin nikharta.
Is liye yak tarfator par yeh kehna kayo rat ko sirf mard kay liye paida kiya warna is ki koee haisiyat nahin bilkul ghalat hai haan yeh kehna sahih hai kay donon ko aik dusray ka gham khowar madar gar banaya hai.
3. Mard Ka Achi Aurat Muntakhib Karna
Sawal: Mein nay aksar jagha parha hai kay mard achi Aurat ki talab kartay hain aur naik biwi chahtay hain aksar apni pasand ki shadi bhi kartay hain kiyunkay woh mard hain. Kiya yeh theek kartay hain?
Aljawab: Naik aur achay joray ki khowahish donon ko hai aur pasand ki shadi bhi donon kartay hain. Mein to is ka qail hoon kay apnay buzurgon ki pasand ki shadi ki jai.
4. Aurat Ka Waldain Kay Zariye Shadi Karna Behtar Hai
Sawal: Kiye Aurat apnay liye achay naik shohar ki khowahish na karay? Aurat kisi aisay shakhs ko pasand karti hai aur is say izzat say shadi karnay ki khowahish rakhti hain to is baray mein aap kiya kehtay hain? Kiyunkay hamaray mashray mein aisi harkat Aurat ko zaib nahin daiti jabkay mard apni khowahish puri karsakta hai.
Aljawab: Upper likh chukka hoon, akar larkiyan kisi shakhs ko pasand karnay mein dhoka kha laiti hain apnay khandan aur kumbay say pehlay cut jati hain in ki mohabbat ka malma chand dinon mein utar jata hai phir woh na ghar ki rehti hain nag hat ki. Is liye mein tamam bachiyon ko mashwarah daita hoon kay shadi dastur kay mutabiq apnay waldain kay zariye kiya karain.
5. Nabi Karim Mohd Mustafa Ka Nikah Ka Paigham Hazrat Khadija Ki Taraf Say Aya Tha
Sawal: Mein nay aksar jagha kitabon min parha hai kay hazrat khadija razi allah tala anho nay hazoore akram mohd Mustafa say nikkah ki khowahish kit hi j okay hazoore akra mohd Mustafa nay baqool karli thi?
Aljawab: Sahih hai.
6. Mojudah Dor Ki Aurat Kisi Ko Nikah Ka Paigham Kaisay Day
Sawal: Agar aaj aik naik momin Aurat kisi naik shakhs say shadi ki khowahish karay to is mein koee buraee to nahin hai jabkay Aurat apni khowahish bayan na karsakti ho to kiya karay. Kiyunkay agar bayan karti hain to waldain ki bhayon ki izzat ka masla ban jata hai agar waldain ki bat manay to apnay aap ko azab mein mubtala karna hoga?
Aljawab: Is ki surat yeh hai kay khud ya apni sahailiyon kay zadiye apni waldah tak apni khowahish pohonchaday aur yeh bhi kah day ka mein kisi bay din say shadi karnay kay bajai shadi na karnay ko tarjih doon gi aur allah tala say dua bhi karti rahay.
7. Pasand Ki Shadi Par Mardon Kay Tanay
Sawal: Agar Aurat apni khowahish say shadi kar bhi lay to yeh mard hazrat tana daina apna farz samajhtay hain jabkay Aurat kam hi aisa karti hogi aisay hazrat kay baray mein aap kiya jawab dain gah?
Aljawab: Ji nahin. Sharfif mard kabhi apni biwi ko tana nahin day ga isi liye to mein nay upper arz kiya kay aaj kal kachi umar aur kachi aqal ki larkiyan mohabbat kay jal mein phans kar apni zindagi barbad kar laiti hain.
Na kisi ka hasb o nasib daikhti hain na akhlaq o sharafat ka imtehan karti hain jabkay larki kay waldain zindagi kay nashaib-o-faraz say bhi waqif hotay hain aur yeh bhi aksar jantay hain kay larki aisay shakhs kay sath nibha kar sakti hai ya nahin. Is liye larki ko chahiye kay waldain ki tajwiz par aitemad karay apni na tajarba kari kay hathon dhoka na khai.
8. Shohar Ki Taskhir Kay Liye Aik Ajib Amal
Sawal: Meri shadi ko do sal huway hain. Mujhe shadi say pehali kuch surtain, kuch duain, aur ayat waghairah parhnay ki adapt thi. Ab wo aisi adapt hogaee hai kay paki,napaki ka kuch khayal nahin rehta aur woh zaban par hoti hain. Khayal anay par ruk jati hoon magar phir wohi. Is liya aap say yeh bat puch rahi hoon kay agar kisi gunah ki murtakib horahi hoon to agahi hojai is kay alawah mein apnay shohar ki taraf say bohot paraishan hoon. Mujhay bohot paraishan kartay hain koee tawajoh nahin daiti ham donon mein apas mein zehni ham ahangi kisi tor nahin hai. bohot koshish karti hoon lakin bay inteha shakki hain.
Aljawab: Napaki ki halat mein qurani duain to yad hain magar tilawat jaiz nahin agar bhool kar parh lain to koee gunar nahin, yad anay par foran band kardain. Shohar kay sath na mowaqifat bara azab hai laikin yeh azab admi khud apnay upper musallat karlaita hai. khilaf tabah chizain to paish ati hi rehti hain laikin admi ko chahiye kay sabar-o-tahammul kay sath khilaf taba baton ko bardasht karay.
Sab say acha wazifa yeh hai kay khidmat ko apna nasbul ain banaya jai shokar ki bat ka lot kar jawab na diya jai na koee chubhti huee bat ki jai. Agar apni ghalati ho ti is ka aitraf karkay mafi mang li jai. Algharaz khidmat, iat, sabar-o-tahammul aur khush akhlaqi say barh kar koee wazifa nahin yehi amal taskhir hai jis kay zariye shohar ko ram kiya ja sakta hai.
Iss say barh kar koee amal taskhir mujhay maloom nahin agar bilfarz shohar sari umar bi sidha ho kar na chalay to bhi Aurat ko duniya-o-akhrat mein apni naika ka badla dair sawair zarur milay ga air is kay waqiyat maray samnay hain aur jo ortain shohar kay samnay tar tar bolti hain in ki zindagi duniya mein bhi jahannam hai akhrat ka azab to abhi anewala hai. behan bhayon kay liye rozana salat alhajat parh kar dua kiya kijay.
9. Khowatin Ka Ghar Say Bahar Nikalna
Sawal: Aurton kay ghar say nikalnay ya na na nikalnay par shariyat islamiya mein kis hat tak pabandi hai?
Aljawab: Aurton kay liye asal kam to yeh hai kay baghair zarurat kay ghar say bahar qadam na rakhain. Chunanchay surat alahzab ki ayat number 33 mein azwaj mutahrat ko hukam hai “tum apnay gharon mein qarar say raho.”
Murad is say yeh kay mahaz kapra orh kar pardah karlainay par kifayat mat karo balkay pardah is tariqay say karo kay badan mah libas nazar na aaey jaisa aaj kal sharfa mein pardah ka tariqa mutarif hai kay ortain gharon say hi nahin nikaltin albatt mowaqeh zarurat dusri dalil say mustashna hain aur isi hukam ki takis kay liyd irshad hai kay qadim zamana jahliyat kay dastoor kay mawafiq mat phiro jin mein bay pardagi raij thi go bila fahash hi kiyun na ho aur qasdim haliyat say murad woh jahliyat hai kay bad talim-o-tabligh ahkam islam kay in par amal na kiya jai pas jo tabraj bad islam hoga woh jahliyat akhri hai.
Is par shayad kisi ko yeh khayal ho kay yeh hukam to sirf azwaj mutahrat riwanaullah alhain kay sath khas hai. magar yeh khayal sahih nahin. Hazrat mufti mohd shafi sahib ahkamul quran mein likhtay hain kay is ayate karima mein panch hukam diye gai hain.
1. Ajnabi lognon kay sath nazakat say bat karna
2. Gharon mein jam kar baithna.
3. Namaz ki pabandi karna.
4. Zakat ada karna.
5. Allah tala aur rasul mohd mustafa ki itat karna.
Zahir hai kay yeh tamam ahkam aam hain. Sirf azwaj mutehrat razi allah anhon kay sath mukhsus nahin. Chunan chay tamam aima mufasarin is par muttafiq hain kay yeh ahkam sab musalman khowatin kay liye hain. Hafiz ibne kasir kehtay hain kay yeh chand adab hain jin ka allah tala nay anhazarat mohd Mustafa ki azwaje mutehrat ko hukam farmaya hai aur ahle iman ortain in ahkam mein azwat mutehrat kay tabeh hain.
Albatta zarurat kay moqon par Orton kay chand sharait ki pabandi kay sath ghar say nikalnay ki ijazat hai. hazrat mufti sahib nay ahkamulquran mein is silsilay ki ayat o ahadis ko tafsil say likhnay kay doran sharait ka khulasa hasbe zail naqal kiya hai.
1. Nikaltay wat khush bon a lagain aur zenat ka libas na pehnain balkay mailay kuchailay kapron mein nilain.
2. Aisa zever pehan kar na niklain jis mein awaz ho.
3. Zamin par is terha paon na marain kay in kay khufia zevrat ki awaz kisi kay kan mein paray.
4. Apni chal mein itranay aur mataknay ka andaz ikhtiyar na karain jo kisi kay liye kashish ka bais ho.
5. Rastay kay darmiyan mein na chaplain balkay kanaron par chaplain.
6. Nikaltay waqt bari chadar orh lain jis say sar say paon tak pura badan dhak jai sirf aik ankh khuli rahai.
7. Apnay shohron ki ijazat kay baghair ghar say bahar na nilain.
8. Kisi ajnabi say bat karnay ki zarurat paish aaey to in kay lab o lehjay mein narmi aur nazakat nahin hona chahiye jis say aisay sheikhs ko tamah ho jis kay din mein shehwat ka marz hai.
9. Apni nazrain past rakhain hatta alwaseh na mehram par in ki nazar nahin parti chahiye.
10. Mardon kay majmah mein na ghusain.
Iss say yeh bhi wazeh hojata hai kay parliament waghairah ki rukniyat qabool karna aur mardana majmon mein taqrir karna Orton ki niswaniyat kay khilaf hai kiyunkay in surton mein islami satar o hijat ka malhuz rakhna mumkin nahin.
10. Aurton Ka Tanha Safar Karna
Sawal: Aurat kay tanha safar kay baray mein shariyat ka kiya hukam hai?
Aljawab: Aurat kay baghair mahram kay safar karna jaiz nahin. Hadis mein is ki mumaniyat aaee hai. chunanchay sahah sata, mota imam malik, masnad ahmed aur hadis kay tamam matad awal majmon mein mutadid sahaba karam rizwanaullah alaihim ajmaeen ki riwayat say anhazrat mohd Mustafa ka yeh irshad maqqul hai kay kisi Aurat kay liye jo allah tala par aur akhrat par iman rakhti ho halal nahin kay baghair mahram kay tin din ka sar karay jis say maloom hota hai kay baghair mahram kay safar na karna Aurat ki niswaniyat ka imani taqaza hai. jo Aurat is taqazai imani ki khilaf wazir karti hai woh fal haram ki murtakin hai. kiyun kay is fal ko anhazrat mohd Mustafa la yahal far fama rahay hain.
11. Aurton Ka Judge Banna
Sawal: Islami shariat mein aurat ka judge banana jaiz hai ya nahi?
Aljawab: Aisay tamam manasib jin mein hark as o nakas kay sath ikhtelat aur mail jol ki zarurat pesh ati hai shariyat islami nay in ki zemmedari mardon par aid ki hai aur Orton ko is say subukdosh rakha hai inhi zimmedariyon mein say aik judge aur qazi bannay ki zimmedari hai. Aan Hazrat Mohammad Mustafa aur Hazrat Khulfa Rashedin Rizwan Allah Alaihim kay zamanay mein bari fazil khowatin mojud theen magar kabhi kisi khatoon ko judge aur qazi bannay ki zehmat nahin di gaee. Chunan chay is par aima arba ka ittefrraq hai kayo rat ko qzi aur judge banana jaiz nahin. Aima salasa kay nazdik to kisi mamlay mein is ka faisla nafiz hi nahin hoga. Imam abu hanifa kay nazdik hadud o qasas kay ma siwa mein is kai faisla nafiz hojaiga. Is ko qazi banan gunah hai. fiqa hanafi ki mashoor kitat dar mukhtar mein hai.
Tarjumah:
“Aur Aurat had o qasas kay ma siwa mein faisla kar sakti hai. agar chay is ko faisla kay liye muqarar karnay wala gunar gar hoga kiyunkay sahih bukhari ki hadis hai kay woh qom kabhi falah nahin paigi jis nay apna mamla Aurat kay supurd kardiya.”
12. Aurat Ko Sabarah Mumlikat Banana
Sawal: Kiya Aurat sabarah mumlikat ya intezami sarbarah ban sakti hai?
Aljawab: Islami mashray mein Aurat ko sarbarah mumlikat bananay ka koee tasawur nahin. Hadis mein hai kay aan hazrat mohd Mustafa ko ittela mili kay ahle faris nay kara ki beti ko badshah bana liya hai to aap Hazarat Mohammad Mustafa nay farmaya.
“Woh qom kabhi falah yab nahin hogi jis nay apna mamla Aurat kay supurad kardiya.
Aik aur hadis hai.”Jab tumharay hukam tom mein sab say achay log hon tumharay maldar sab say sakhi aur kushadah dast hon aur tumharay mamlat apas kay mashwaray say tay hon to tumharay liye zamin ki pusht is kay pait say behtar hai aur jab tumharay hukam buray log hon tumharay maldar bakhil hona ur tumharay mamlat Aurton kay supurd hon to tumharay liye zamin ka pait is ki pusht say behatar hai (Yani aisi surat mein jinay say marna acha hai) chunacnay ummat ka is par ittefaq o ajmah hai kayo rat ko sarbarah mumlikat bnana jaiz nahin.
Shah wali ullah mahdis delvi azala alkhafa mein sharait khilafat par behass kartay huway likhtay hain.
Tarjumah
Aur aik shart yeh hai kay sarbarah mumlikat mard ho Aurat na ho kiyunkay sahih bukhari mein aan hazrat mohd Mustafa ka irshad hai ma aflah qom walwa amar ham amrah jab aan hazarat mohd Mustafa ko yeh ittelah pohonchi kay ahlay faris nay kasra ki beti ko badshah banaliya hai to farmaya kay woh qom kabhi falah nahin paigi jis nay apni badshahi ka mamla Aurat kay supurd kardiya naiz is liye kayo raat fitratan naris ul aqal waldain hai jang o paikar mein bekar hai aur mehfilon aur mujlison mein hazir honay kay qabil nahin hain is say maqasid matluba puray nahin hosakta
Jan 6, 2011
Male Weakness
MARDANA KAMZORI
Mardon ka ahem tareen masla Erectile Dysfunction (mardana kamzori) hai. Erectile dysfunction ko aam tor sey male impotence kaha jata hai.Iss mein ba'az auqaat to mard ko tana'u hota hi nahin ba'az afraad ko tana'u to hota hai magar dakhool kay waqt ek dum khatam ho jata hai aur kuch afraad ka tana'u dakhool kay ba'ad khatam ho jata hai jis ki wajah sey woh mubashrat ko jari nahin rakh sakta. Agar yeh masla kuch arsa jari rahey to ba'az intehaee surton mein naujawan pagal ho jatey hain aur ba'az khudkushi tak kar letey hain iss surat mein shaadi ka qayem rehna na mumkin nahin to bohut mushkil zaroor hai. Merey paas kaee aisey cases aaey jahan iss wajah sey alaehdgi ho gaee sharmindagi ki wajah sey yeh log jald elaj kay liye nahin aatey, amooman yeh log surat e haal kafi bigarrney kay ba'ad aatey hain. Jab fard ko kisi bhi waqt tanau hota ho to iss ka masla jismani nahin bul kay nafsiyati hota hai yeh masla jawani mein taqreeban 100% nafsiyati hota hai aksar wajah naakami ka khauf aur khud lazzati kay hawaley sey kamzori ka khauf aur wahem hota hai albatta 40 saal ki umar kay baad bohut sey logon kay masley ki wajah jismani ho sakti hai. Yeh beemari ya kisi beemari ki adviyat kay side effects hotey hain.
Biwi agar chahey to woh apney mian ki madad kar kay uss ki izzat, jaan aur apni shaadi ko bacha sakti hai aaj kal yeh masla 100% qabil e elaj hai iss kay liye sab sey pehley biwi ko khud mardana kamzori ka elaj karney ki koshish karni chahiyie. Iss silsiley mein bunyaadi baat yeh hai kay agar biwi ko aisi surat e haal ka saamna ho to woh kabhi ghussey, pareshani aur afsos ka izhaar na karey, mian per tunz na karey bul kay uski hosla afzaee karey usey bataey kay woh bilkul normal hai aaj nahin to kal woh kamyaab ho jaey ga iss silsiley mein pareshan honay ki zaroorat nahin iss kaam kay liye saari umar parri hai.
Jan 5, 2011
PRAGNANCY AND INTERCOURSE
PRAGNANCY AND INTERCOURSE (HAMAL OR MUBASHRAT)
Hamal
ka arsa 9 maah per mushtamil hota hai itna arsa amooman kisi bhi mard
kay liye jinsi amal sey perhaez karna bohut mushkil hai, khwateen mein
bhi jinsi khwahish maand nahin parti bul kay 80% khwateen ki jinsi
khwahish mein hamal ki doosri seh maahi (4 ta 6 maah) mein izaafa hojata
hai. Agarcha aakhri 3 maah mein aksar khwateen ki jinsi khwahish aur
dilchaspi kam ho jati hai. Master & Johnson ki research kay mutabiq
ek sehat mand haamla aurat kay sath bachey ki paedae'sh sey 4 haftey
qabal tak mehfooz tor per mubashrat ki ja sakti hai.